Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jigar Moradabadi's Photo'

Jigar Moradabadi

1890 - 1960 | Moradabad, India

One of the most prominent pre-modern poets who enjoyed stunning popularity and fan-following.

One of the most prominent pre-modern poets who enjoyed stunning popularity and fan-following.

Sher of Jigar Moradabadi

139K
Favorite

SORT BY

sabā ye un se hamārā payām kah denā

ga.e ho jab se yahāñ sub.h-o-shām na huī

saba ye un se hamara payam kah dena

gae ho jab se yahan subh-o-sham hi na hui

fikr-e-jamīl ḳhvāb-e-pareshāñ hai āj-kal

shā.er nahīñ hai vo jo ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal

fikr-e-jamil KHwab-e-pareshan hai aaj-kal

shaer nahin hai wo jo ghazal-KHwan hai aaj-kal

chashm pur-nam zulf āshufta nigāheñ be-qarār

is pashīmānī ke sadqe maiñ pashīmāñ ho gayā

chashm pur-nam zulf aashufta nigahen be-qarar

is pashimani ke sadqe main pashiman ho gaya

har taraf chhā ga.e paiġhām-e-mohabbat ban kar

mujh se achchhī rahī qismat mere afsānoñ

har taraf chha gae paigham-e-mohabbat ban kar

mujh se achchhi rahi qismat mere afsanon ki

āñkhoñ se jaan jā.iye furqat mājrā

ashkoñ se pūchh lījiye jo dil haal hai

aankhon se jaan jaiye furqat ka majra

ashkon se puchh lijiye jo dil ka haal hai

ham kahīñ aate haiñ vaa.iz tire bahkāne meñ

isī maiḳhāne miTTī isī maiḳhāne meñ

hum kahin aate hain waiz tere bahkane mein

isi maiKHane ki miTTi isi maiKHane mein

haa.e re majbūriyāñ mahrūmiyāñ nākāmiyāñ

ishq āḳhir ishq hai tum kyā karo ham kyā kareñ

hae re majburiyan mahrumiyan nakaamiyan

ishq aaKHir ishq hai tum kya karo hum kya karen

maut kyā ek lafz-e-be-ma.anī

jis ko maarā hayāt ne maarā

maut kya ek lafz-e-be-mani

jis ko mara hayat ne mara

maiñ to jab mānūñ mirī tauba ke ba.ad

kar ke majbūr pilā de saaqī

main to jab manun meri tauba ke baad

kar ke majbur pila de saqi

tūl-e-ġham-e-hayāt se ghabrā na ai 'jigar'

aisī bhī koī shaam hai jis sahar na ho

tul-e-gham-e-hayat se ghabra na ai 'jigar'

aisi bhi koi sham hai jis ki sahar na ho

ġharq kar de tujh ko zāhid terī duniyā ko ḳharāb

kam se kam itnī to har mai-kash ke paimāne meñ hai

gharq kar de tujh ko zahid teri duniya ko KHarab

kam se kam itni to har mai-kash ke paimane mein hai

us ne apnā banā ke chhoḌ diyā

kyā asīrī hai kyā rihā.ī hai

She made me hers, away then sent

What's freedom? What's imprisonment?

us ne apna bana ke chhoD diya

kya asiri hai kya rihai hai

She made me hers, away then sent

What's freedom? What's imprisonment?

rāhat-e-be-ḳhalish agar mil bhī ga.ī to kyā mazā

talḳhi-e-ġham bhī chāhiye bāda-e-ḳhush-gavār meñ

rahat-e-be-KHalish agar mil bhi gai to kya maza

talKHi-e-gham bhi chahiye baada-e-KHush-gawar mein

duniyā ye dukhī hai phir bhī magar thak kar sahī so jaatī hai

tere muqaddar meñ ai dil kyuuñ chain nahīñ ārām nahīñ

duniya ye dukhi hai phir bhi magar thak kar hi sahi so jati hai

tere hi muqaddar mein ai dil kyun chain nahin aaram nahin

nigāh-e-yās mirī kaam kar ga.ī apnā

rulā ke uTThe the vo muskurā ke baiTh ga.e

nigah-e-yas meri kaam kar gai apna

rula ke uTThe the wo muskura ke baiTh gae

vo nazroñ nazroñ meñ savālāt duniyā

vo āñkhoñ āñkhoñ meñ javābāt aalam

wo nazron hi nazron mein sawalat ki duniya

wo aankhon hi aankhon mein jawabaat ka aalam

jin ke liye mar bhī ga.e ham

vo chal kar do gaam na aa.e

jin ke liye mar bhi gae hum

wo chal kar do gam na aae

sāz-e-ulfat chhiḌ rahā hai āñsuoñ ke saaz par

muskurā.e ham to un ko bad-gumānī ho ga.ī

saz-e-ulfat chhiD raha hai aansuon ke saz par

muskurae hum to un ko bad-gumani ho gai

mirī rūdād-e-ġham vo sun rahe haiñ

tabassum laboñ par aa rahā hai

meri rudad-e-gham wo sun rahe hain

tabassum sa labon par aa raha hai

ban jā.ūñ na begāna-e-ādāb-e-mohabbat

itnā na qarīb aao munāsib to yahī hai

ban jaun na begana-e-adab-e-mohabbat

itna na qarib aao munasib to yahi hai

husn ke har jamāl meñ pinhāñ

merī rānā.i-e-ḳhayāl bhī hai

husn ke har jamal mein pinhan

meri ranai-e-KHayal bhi hai

āġhāz-e-mohabbat anjām bas itnā hai

jab dil meñ tamannā thī ab dil tamannā hai

aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai

jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai

le ke ḳhat un kiyā zabt bahut kuchh lekin

thartharāte hue hāthoñ ne bharam khol diyā

le ke KHat un ka kiya zabt bahut kuchh lekin

thartharaate hue hathon ne bharam khol diya

donoñ hāthoñ se lūTtī hai hameñ

kitnī zālim hai terī añgḌā.ī

donon hathon se luTti hai hamein

kitni zalim hai teri angDai

mirī hastī hai mirī tarz-e-tamannā ai dost

ḳhud maiñ fariyād huuñ merī koī fariyād nahīñ

meri hasti hai meri tarz-e-tamanna ai dost

KHud main fariyaad hun meri koi fariyaad nahin

ek aisā bhī vaqt hotā hai

muskurāhaT bhī aah hotī hai

ek aisa bhi waqt hota hai

muskurahaT bhi aah hoti hai

āñkhoñ meñ nuur jism meñ ban kar vo jaañ rahe

ya.anī hamīñ meñ rah ke vo ham se nihāñ rahe

aankhon mein nur jism mein ban kar wo jaan rahe

yani hamin mein rah ke wo hum se nihan rahe

hasīñ terī āñhkeñ hasīñ tere aañsū

yahīñ Duub jaane ko chāhtā hai

hasin teri aanhken hasin tere aansu

yahin Dub jaane ko ji chahta hai

junūn-e-mohabbat yahāñ tak to pahuñchā

ki tark-e-mohabbat kiyā chāhtā huuñ

junun-e-mohabbat yahan tak to pahuncha

ki tark-e-mohabbat kiya chahta hun

rahā huuñ āñkhoñ āñkhoñ meñ sharāb

ab na shīsha hai na koī jaam hai

pi raha hun aankhon aankhon mein sharab

ab na shisha hai na koi jam hai

dard o ġham dil tabī.at ban ga.e

ab yahāñ ārām ārām hai

the heart is accustomed to sorrow and pain

in lasting comfort now I can remain

dard o gham dil ki tabiat ban gae

ab yahan aaram hi aaram hai

the heart is accustomed to sorrow and pain

in lasting comfort now I can remain

laakh āftāb paas se ho kar guzar ga.e

ham baiThe intizār-e-sahar dekhte rahe

a million suns have come and gone

still I sat waiting watching out for dawn

lakh aaftab pas se ho kar guzar gae

hum baiThe intizar-e-sahar dekhte rahe

a million suns have come and gone

still I sat waiting watching out for dawn

aadat ke ba.ad dard bhī dene lagā mazā

hañs hañs ke aah aah kiye rahā huuñ maiñ

aadat ke baad dard bhi dene laga maza

hans hans ke aah aah kiye ja raha hun main

mai-kasho muzhda ki baaqī na rahī qaid-e-makāñ

aaj ik mauj bahā le ga.ī maiḳhāne ko

mai-kasho muzhda ki baqi na rahi qaid-e-makan

aaj ek mauj baha le gai maiKHane ko

bigḌā huā hai rañg jahān-e-ḳharāb

bhar luuñ nazar meñ husn kisī ke shabāb

bigDa hua hai rang jahan-e-KHarab ka

bhar lun nazar mein husn kisi ke shabab ka

nigāh-e-shauq ne mahshar meñ saaf taaḌ liyā

kahāñ vo chhupte ki āñkhoñ meñ the samā.e hue

nigah-e-shauq ne mahshar mein saf taD liya

kahan wo chhupte ki aankhon mein the samae hue

jo na samjhe nāseho phir us ko samjhāte ho kyuuñ

saath dīvāne ke dīvāne bane jaate ho kyuuñ

why do you seek to moralize to those who do not comprehend

why with these lunatics do you become a lunatic my friend?

jo na samjhe naseho phir us ko samjhate ho kyun

sath diwane ke diwane bane jate ho kyun

why do you seek to moralize to those who do not comprehend

why with these lunatics do you become a lunatic my friend?

nashsha-e-husn ko is tarah utarte dekhā

aib par apne koī jaise pashemāñ ho jaa.e

nashsha-e-husn ko is tarah utarte dekha

aib par apne koi jaise pasheman ho jae

jiite aur tark-e-mohabbat

mar jaanā āsān nahīñ hai

jite ji aur tark-e-mohabbat

mar jaana aasan nahin hai

ġharq kar de tujh ko zāhid terī duniyā ko ḳharāb

kam se kam itnī to har mai-kash ke paimāne meñ hai

gharq kar de tujh ko zahid teri duniya ko KHarab

kam se kam itni to har mai-kash ke paimane mein hai

kyā batā.ūñ kis qadar zanjīr-e-pā sābit hue

chand tinke jin ko apnā āshiyāñ samjhā thā meñ

kya bataun kis qadar zanjir-e-pa sabit hue

chand tinke jin ko apna aashiyan samjha tha mein

baiThe hue raqīb haiñ dilbar ke ās-pās

kāñToñ hai hujūm gul-e-tar ke ās-pās

baiThe hue raqib hain dilbar ke aas-pas

kanTon ka hai hujum gul-e-tar ke aas-pas

ibtidā vo thī ki jiinā thā mohabbat meñ muhāl

intihā ye hai ki ab marnā bhī mushkil ho gayā

ibtida wo thi ki jina tha mohabbat mein muhaal

intiha ye hai ki ab marna bhi mushkil ho gaya

aa.ī jab un yaad to aatī chalī ga.ī

har naqsh-e-mā-sivā ko miTātī chalī ga.ī

aai jab un ki yaad to aati chali gai

har naqsh-e-ma-siwa ko miTati chali gai

tujhe bhuul jaanā to mumkin nahīñ hai

magar bhuul jaane ko chāhtā hai

tujhe bhul jaana to mumkin nahin hai

magar bhul jaane ko ji chahta hai

ham ne siine se lagāyā dil na apnā ban sakā

muskurā kar tum ne dekhā dil tumhārā ho gayā

hum ne sine se lagaya dil na apna ban saka

muskura kar tum ne dekha dil tumhaara ho gaya

tūfāñ gilā kyā kartā hai tūfāñ ko duā.eñ de nādāñ

har mauj tujhe Thokar de kar sāhil taraf le jaatī hai

tufan ka gila kya karta hai tufan ko duaen de nadan

har mauj tujhe Thokar de kar sahil ki taraf le jati hai

mujhī meñ rahe mujh se mastūr ho kar

bahut paas nikle bahut duur ho kar

mujhi mein rahe mujh se mastur ho kar

bahut pas nikle bahut dur ho kar

mire rashk-e-be-nihāyat ko na pūchh mere dil se

tujhe tujh se bhī chhupātā agar iḳhtiyār hotā

mere rashk-e-be-nihayat ko na puchh mere dil se

tujhe tujh se bhi chhupata agar iKHtiyar hota

vo ḳhalish jis se thā hañgāma-e-hastī barpā

vaqf-e-betābī-e-ḳhāmosh huī jaatī hai

wo KHalish jis se tha hangama-e-hasti barpa

waqf-e-betabi-e-KHamosh hui jati hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now