Sher on Saqi
The figure of saqi is
an alien one in today’s world as he has been replaced by the bartender in a bar. In the olden days, saqi was the one who epitomised the institution of tavern and his eyes were more intoxicating than the glasses full of wine. In the classical poetry he represented a tradition and an institution. This selection will introduce you to the most interesting figure of saqi as represented in Urdu poetry.
piitā huuñ jitnī utnī hī baḌhtī hai tishnagī
saaqī ne jaise pyaas milā dī sharāb meñ
pita hun jitni utni hi baDhti hai tishnagi
saqi ne jaise pyas mila di sharab mein
baat saaqī kī na Taalī jā.egī
kar ke tauba toḌ Daalī jā.egī
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
baat saqi ki na Tali jaegi
kar ke tauba toD Dali jaegi
the wishes of my saaqii I will not ignore
the vow of abstinence I take, will forthwith abjure
-
Tags : Famous shayariand 1 more
ijāzat ho to maiñ tasdīq kar luuñ terī zulfoñ se
sunā hai zindagī ik ḳhūb-sūrat daam hai saaqī
ijazat ho to main tasdiq kar lun teri zulfon se
suna hai zindagi ek KHub-surat dam hai saqi
saaqī zarā nigāh milā kar to dekhnā
kambaḳht hosh meñ to nahīñ aa gayā huuñ maiñ
saqi zara nigah mila kar to dekhna
kambaKHt hosh mein to nahin aa gaya hun main
-
Tag : Nigaah
āñkheñ saaqī kī jab se dekhī haiñ
ham se do ghūñT pī nahīñ jaatī
aankhen saqi ki jab se dekhi hain
hum se do ghunT pi nahin jati
-
Tag : Eyes
kisī kī bazm ke hālāt ne samjhā diyā mujh ko
ki jab saaqī nahīñ apnā to mai apnī na jaam apnā
kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko
ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna
-
Tag : Sharab
tez hai aaj dard-e-dil saaqī
talḳhī-e-mai ko tez-tar kar de
tez hai aaj dard-e-dil saqi
talKHi-e-mai ko tez-tar kar de
-
Tags : Dardand 1 more
aatā hai jī meñ sāqi-e-mah-vash pe baar baar
lab chuum luuñ tirā lab-e-paimāna chhoḌ kar
aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar
lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar
-
Tags : Kissand 1 more
abhī raat kuchh hai baaqī na uThā naqāb saaqī
tirā rind girte girte kahīñ phir sambhal na jaa.e
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
-
Tags : Naqaband 2 more
azaañ ho rahī hai pilā jald saaqī
ibādat kareñ aaj maḳhmūr ho kar
tis the call to prayer, hasten, pour me wine
today inebriated, I'll worship the divine
azan ho rahi hai pila jald saqi
ibaadat karen aaj maKHmur ho kar
tis the call to prayer, hasten, pour me wine
today inebriated, I'll worship the divine
-
Tags : Maikashiand 1 more
zabān-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahīñ saktā
maiñ kaise bin piye le luuñ ḳhudā kā naam ai saaqī
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta
main kaise bin piye le lun KHuda ka nam ai saqi
fareb-e-sāqi-e-mahfil na pūchhiye 'majrūh'
sharāb ek hai badle hue haiñ paimāne
fareb-e-saqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharab ek hai badle hue hain paimane
-
Tags : Mehfiland 1 more
sharāb band ho saaqī ke bas kī baat nahīñ
tamām shahar hai do chaar das kī baat nahīñ
sharab band ho saqi ke bas ki baat nahin
tamam shahar hai do chaar das ki baat nahin
ye dushmanī hai saaqī yā dostī hai saaqī
auroñ ko jaam denā mujh ko dikhā dikhā ke
ye dushmani hai saqi ya dosti hai saqi
auron ko jam dena mujh ko dikha dikha ke
koī samjhā.e ki kyā rañg hai maiḳhāne kā
aañkh saaqī kī uThe naam ho paimāne kā
koi samjhae ki kya rang hai maiKHane ka
aankh saqi ki uThe nam ho paimane ka
ruuh kis mast kī pyāsī ga.ī mai-ḳhāne se
mai uḌī jaatī hai saaqī tire paimāne se
ruh kis mast ki pyasi gai mai-KHane se
mai uDi jati hai saqi tere paimane se
saaqī tujhe ik thoḌī sī taklīf to hogī
sāġhar ko zarā thaam maiñ kuchh soch rahā huuñ
saqi tujhe ek thoDi si taklif to hogi
saghar ko zara tham main kuchh soch raha hun
asar na pūchhiye saaqī kī mast āñkhoñ kā
ye dekhiye ki koī hoshyār baaqī hai
asar na puchhiye saqi ki mast aankhon ka
ye dekhiye ki koi hoshyar baqi hai
saaqī mire bhī dil kī taraf Tuk nigāh kar
lab-tishna terī bazm meñ ye jaam rah gayā
saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya
vaa.iz kī āñkheñ khul ga.iiñ piite hī sāqiyā
ye jām-e-mai thā yā koī dariyā-e-nūr thā
waiz ki aankhen khul gain pite hi saqiya
ye jam-e-mai tha ya koi dariya-e-nur tha
-
Tags : Sharaband 1 more
mast karnā hai to ḳhud muñh se lagā de saaqī
tū pilā.egā kahāñ tak mujhe paimāne se
if you want me merry let me sip on your lips divine
for how long, in goblets pray, will you serve me wine
mast karna hai to KHud munh se laga de saqi
tu pilaega kahan tak mujhe paimane se
if you want me merry let me sip on your lips divine
for how long, in goblets pray, will you serve me wine
dard-e-sar hai ḳhumār se mujh ko
jald le kar sharāb aa saaqī
dard-e-sar hai KHumar se mujh ko
jald le kar sharab aa saqi
-
Tags : Dardand 1 more
maiñ to jab mānūñ mirī tauba ke ba.ad
kar ke majbūr pilā de saaqī
main to jab manun meri tauba ke baad
kar ke majbur pila de saqi
na vaa.iz hajv kar ek din duniyā se jaanā hai
are muñh sāqi-e-kausar ko bhī āḳhir dikhānā hai
na waiz hajw kar ek din duniya se jaana hai
are munh saqi-e-kausar ko bhi aaKHir dikhana hai
ye thoḌī thoḌī mai na de kalā.ī moḌ moḌ kar
bhalā ho terā sāqiyā pilā de ḳhum nichoḌ kar
ye thoDi thoDi mai na de kalai moD moD kar
bhala ho tera saqiya pila de KHum nichoD kar
chashm-e-sāqī mujhe har gaam pe yaad aatī hai
rāstā bhuul na jā.ūñ kahīñ maiḳhāne kā
chashm-e-saqi mujhe har gam pe yaad aati hai
rasta bhul na jaun kahin maiKHane ka
aatī jaatī hai jā-ba-jā badlī
sāqiyā jald aa havā badlī
aati jati hai ja-ba-ja badli
saqiya jald aa hawa badli