Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ada Jafarey's Photo'

Ada Jafarey

1924 - 2015 | Karachi, Pakistan

One of the prominent women poets famous for the soft and lyrical tone of her poetry.

One of the prominent women poets famous for the soft and lyrical tone of her poetry.

Sher of Ada Jafarey

19.6K
Favorite

SORT BY

vo ā.eñge to ā.eñge junūn-e-shauq ubhārne

vo jā.eñge to jā.eñge ḳharābiyāñ kiye hue

wo aaenge to aaenge junun-e-shauq ubhaarne

wo jaenge to jaenge KHarabiyan kiye hue

dil āzurdagī bajā lekin

vo bhī mahrūm-e-yak-nigāh rahe

dil ki aazurdagi baja lekin

wo bhi mahrum-e-yak-nigah rahe

idhar bhī ik nazar ai jalva-e-rangīn-o-begāna

tulū-e-māh hai muntazir merā siyah-ḳhāna

idhar bhi ek nazar ai jalwa-e-rangin-o-begana

tulu-e-mah ka hai muntazir mera siyah-KHana

āmāda-e-karam hai ye kis nigāh-e-nāz

dil shikva-e-sitam se pashemāñ hai aaj kyoñ

aamada-e-karam hai ye kis ki nigah-e-naz

dil shikwa-e-sitam se pasheman hai aaj kyon

dil ke vīrāne meñ ghūme to bhaTak jāoge

raunaq-e-kūcha-o-bāzār se aage na baḌho

dil ke virane mein ghume to bhaTak jaoge

raunaq-e-kucha-o-bazar se aage na baDho

ummīd gharauñdā pal meñ girā diyā hai

tujh ko bhī kyā kisī ne dil se bhulā diyā hai

ummid ka gharaunda pal mein gira diya hai

tujh ko bhi kya kisi ne dil se bhula diya hai

kis ko ḳhabar haiñ kitne bahakte hue qadam

maḳhmūr añkhḌiyoñ sahārā liye hue

kis ko KHabar hain kitne bahakte hue qadam

maKHmur ankhDiyon ka sahaara liye hue

shāyad kisī ne yaad kiyā hai hameñ 'adā'

kyoñ varna ashk mā.il-e-tūfāñ hai aaj phir

shayad kisi ne yaad kiya hai hamein 'ada'

kyon warna ashk mail-e-tufan hai aaj phir

aur kuchh der lab pe aah rahe

aur kuchh un se rasm-o-rāh rahe

aur kuchh der lab pe aah rahe

aur kuchh un se rasm-o-rah rahe

ye kis ne naqāb apne ruḳh se ulaT

gale mil rahe haiñ baham kufr-o-īmāñ

ye kis ne naqab apne ruKH se ulaT di

gale mil rahe hain baham kufr-o-iman

sajde taḌap rahe haiñ jabīn-e-niyāz meñ

sar haiñ kisī zulf saudā liye hue

sajde taDap rahe hain jabin-e-niyaz mein

sar hain kisi ki zulf ka sauda liye hue

ye phir kis ne duzdīda nazroñ se dekhā

machalne lage saiñkaḌoñ shoḳh armāñ

ye phir kis ne duzdida nazron se dekha

machalne lage sainkaDon shoKH arman

vo be-naqāb sāmne aa.eñ bhī ab to kyā

dīvāngī ko hosh fursat nahīñ rahī

wo be-naqab samne aaen bhi ab to kya

diwangi ko hosh ki fursat nahin rahi

phir nigāhoñ ko aazmā liije

phir vafāoñ pe ishtibāh rahe

phir nigahon ko aazma lije

phir wafaon pe ishtibah rahe

na hotā ḳhānumāñ to ḳhānumāñ-barbād kyoñ hotī

'adā' ye rang laa.ī ārzū-e-āshiyāñ merī

na hota KHanuman to KHanuman-barbaad kyon hoti

'ada' ye rang lai aarzu-e-ashiyan meri

payām-e-zindagī-e-nau na ban sakīñ sad haif

ye uudī uudī ghaTā.eñ ye bhīgī bhīgī bahār

payam-e-zindagi-e-nau na ban sakin sad haif

ye udi udi ghaTaen ye bhigi bhigi bahaar

mastī bharī havāoñ ke jhoñke na pūchhiye

fitrat hai aaj sāġhar-o-mīnā liye hue

masti bhari hawaon ke jhonke na puchhiye

fitrat hai aaj saghar-o-mina liye hue

sadiyoñ se mire paañv tale jannat-e-insāñ

maiñ jannat-e-insāñ patā DhūñDh rahī huuñ

sadiyon se mere panw tale jannat-e-insan

main jannat-e-insan ka pata DhunDh rahi hun

riit bhī apnī rut bhī apnī

dil rasm-e-duniyā kyā jaane

rit bhi apni rut bhi apni

dil rasm-e-duniya kya jaane

gul par kyā kuchh biit ga.ī hai

albelā jhoñkā kyā jaane

gul par kya kuchh bit gai hai

albela jhonka kya jaane

hamāre shahr ke logoñ ab ahvāl itnā hai

kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā

hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai

kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana

agar sach itnā zālim hai to ham se jhuuT bolo

hameñ aatā hai patjhaḌ ke dinoñ gul-bār ho jaanā

agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo

hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana

bas ek baar manāyā thā jashn-e-mahrūmī

phir us ke baad koī ibtilā nahīñ aa.ī

bas ek bar manaya tha jashn-e-mahrumi

phir us ke baad koi ibtila nahin aai

abhī sahīfa-e-jāñ par raqam bhī kyā hogā

abhī to yaad bhī be-sāḳhta nahīñ aa.ī

abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga

abhi to yaad bhi be-saKHta nahin aai

mizāj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchāne

jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchāne

mizaj-o-martaba-e-chashm-e-nam ko pahchane

jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane

sab se baḌā fareb hai ḳhud zindagī 'adā'

is hīla-jū ke saath haiñ ham bhī bahāna-sāz

sab se baDa fareb hai KHud zindagi 'ada'

is hila-ju ke sath hain hum bhi bahana-saz

huā yuuñ ki phir mujhe zindagī ne basar kiyā

koī din the jab mujhe har nazāra hasīñ milā

hua yun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya

koi din the jab mujhe har nazara hasin mila

jo dil meñ thī nigāh nigāh meñ kiran thī

vo dāstāñ ulajh ga.ī vazāhatoñ ke darmiyāñ

jo dil mein thi nigah si nigah mein kiran si thi

wo dastan ulajh gai wazahaton ke darmiyan

aa dekh ki mere āñsuoñ meñ

ye kis jamāl aa gayā hai

aa dekh ki mere aansuon mein

ye kis ka jamal aa gaya hai

kin manziloñ luTe haiñ mohabbat ke qāfile

insāñ zamīñ pe aaj ġharīb-ul-vatan hai

kin manzilon luTe hain mohabbat ke qafile

insan zamin pe aaj gharib-ul-watan sa hai

baḌe tābāñ baḌe raushan sitāre TuuT jaate haiñ

sahar raah taknā sahar āsāñ nahīñ hotā

baDe taban baDe raushan sitare TuT jate hain

sahar ki rah takna ta sahar aasan nahin hota

na bahlāvā na samjhautā judā.ī judā.ī hai

'adā' socho to ḳhushbū safar āsāñ nahīñ hotā

na bahlawa na samjhauta judai si judai hai

'ada' socho to KHushbu ka safar aasan nahin hota

aap markaz-e-nigāh rahe

jaane ko chār-sū nigāh ga.ī

aap hi markaz-e-nigah rahe

jaane ko chaar-su nigah gai

ḳhalish-e-tīr-e-be-panāh ga.ī

lījiye un se rasm-o-rāh ga.ī

KHalish-e-tir-e-be-panah gai

lijiye un se rasm-o-rah gai

bujhī huī haiñ nigāheñ ġhubār hai ki dhuāñ

vo rāsta hai ki apnā bhī naqsh-e-pā na mile

bujhi hui hain nigahen ghubar hai ki dhuan

wo rasta hai ki apna bhi naqsh-e-pa na mile

kaTtā kahāñ tavīl thā rātoñ silsila

sūraj mirī nigāh sachchā.iyoñ meñ thā

kaTta kahan tawil tha raaton ka silsila

suraj meri nigah ki sachchaiyon mein tha

hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam aa.e

aa.e to sahī bar-sar-e-ilzām aa.e

honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae

aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae

jis jānib 'adā' nazar na uThī

haal us bhī mere haal thā

jis ki jaanib 'ada' nazar na uThi

haal us ka bhi mere haal sa tha

vo kaisī aas thī adā jo kū-ba-kū liye phirī

vo kuchh to thā jo dil ko aaj tak kabhū milā nahīñ

wo kaisi aas thi ada jo ku-ba-ku liye phiri

wo kuchh to tha jo dil ko aaj tak kabhu mila nahin

jis bātoñ ke fasāne likkhe

us ne to kuchh na kahā thā shāyad

jis ki baaton ke fasane likkhe

us ne to kuchh na kaha tha shayad

log be-mehr na hote hoñge

vahm dil ko huā thā shāyad

log be-mehr na hote honge

wahm sa dil ko hua tha shayad

matā-e-dard parakhnā to bas baat nahīñ

jo tujh ko dekh ke aa.e vo ham ko pahchāne

mata-e-dard parakhna to bas ki baat nahin

jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane

hazār kos nigāhoñ se dil manzil tak

koī qarīb se dekhe to ham ko pahchāne

hazar kos nigahon se dil ki manzil tak

koi qarib se dekhe to hum ko pahchane

ḳhazīne jaañ ke luTāne vaale diloñ meñ basne aas le kar

sunā hai kuchh log aise guzre jo ghar se aa.e na ghar ga.e haiñ

KHazine jaan ke luTane wale dilon mein basne ki aas le kar

suna hai kuchh log aise guzre jo ghar se aae na ghar gae hain

kuchh itnī raushnī meñ the chehroñ ke aa.ine

dil us ko DhūñDhtā thā jise jāntā na thā

kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine

dil us ko DhunDhta tha jise jaanta na tha

ek ā.īna rū-ba-rū hai abhī

us ḳhushbū se guftugū hai abhī

ek aaina ru-ba-ru hai abhi

us ki KHushbu se guftugu hai abhi

varna insān mar gayā hotā

koī be-nām justujū hai abhī

warna insan mar gaya hota

koi be-nam justuju hai abhi

bolte haiñ diloñ ke sannāTe

shor ye jo chār-sū hai abhī

bolte hain dilon ke sannaTe

shor sa ye jo chaar-su hai abhi

vo tishnagī thī ki shabnam ko hoñT tarse haiñ

vo aab huuñ ki muqayyad guhar guhar meñ rahūñ

wo tishnagi thi ki shabnam ko honT tarse hain

wo aab hun ki muqayyad guhar guhar mein rahun

haath kāñToñ se kar liye zaḳhmī

phuul bāloñ meñ ik sajāne ko

hath kanTon se kar liye zaKHmi

phul baalon mein ek sajaane ko

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now