Sher on Naqab
Veil has been a subject
of great interest to both poets and readers of poetry. The beloved keeps herself in veil and causes much suffering to the lovers who die to steal a look which he cannot get so easily. It also happens sometimes that the beloved fails in hiding herself behind the veil which both amuses and pleases the lover. You may like to see some of these conditions here.
itne hijāboñ par to ye aalam hai husn kā
kyā haal ho jo dekh leñ parda uThā ke ham
itne hijabon par to ye aalam hai husn ka
kya haal ho jo dekh len parda uTha ke hum
ḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñ
saaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ
what coyness this is, to abide,a screen beside her face
which neither does she clearly hide nor openly display
KHub parda hai ki chilman se lage baiThe hain
saf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin
what coyness this is, to abide,a screen beside her face
which neither does she clearly hide nor openly display
āñkheñ ḳhudā ne dī haiñ to dekheñge husn-e-yār
kab tak naqāb ruḳh se uThā.ī na jā.egī
aankhen KHuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar
kab tak naqab ruKH se uThai na jaegi
-
Tag : Eyes
is daur meñ insān kā chehra nahīñ miltā
kab se maiñ naqāboñ kī taheñ khol rahā huuñ
is daur mein insan ka chehra nahin milta
kab se main naqabon ki tahen khol raha hun
-
Tag : Insaan
hazār chehre haiñ maujūd aadmī ġhā.eb
ye kis ḳharābe meñ duniyā ne lā ke chhoḌ diyā
hazar chehre hain maujud aadmi ghaeb
ye kis KHarabe mein duniya ne la ke chhoD diya
-
Tags : Aadmiand 1 more
saraktī jaa.e hai ruḳh se naqāb āhista āhista
nikaltā aa rahā hai āftāb āhista āhista
the veil slips from her visage at such a gentle pace
as though the sun emerges from a cloud's embrace
sarakti jae hai ruKH se naqab aahista aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista aahista
the veil slips from her visage at such a gentle pace
as though the sun emerges from a cloud's embrace
-
Tags : Jagjit Singhand 2 more
dekh kar ham ko na parde meñ tū chhup jaayā kar
ham to apne haiñ miyāñ ġhair se sharmāyā kar
dekh kar hum ko na parde mein tu chhup jaya kar
hum to apne hain miyan ghair se sharmaya kar
-
Tag : Sharm
tasavvur meñ bhī ab vo be-naqāb aate nahīñ mujh tak
qayāmat aa chukī hai log kahte haiñ shabāb aayā
tasawwur mein bhi ab wo be-naqab aate nahin mujh tak
qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya
abhī raat kuchh hai baaqī na uThā naqāb saaqī
tirā rind girte girte kahīñ phir sambhal na jaa.e
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
-
Tags : Raatand 2 more
ḳhol chehroñ pe chaḌhāne nahīñ aate ham ko
gaañv ke log haiñ ham shahr meñ kam aate haiñ
KHol chehron pe chaDhane nahin aate hum ko
ganw ke log hain hum shahr mein kam aate hain
-
Tag : Gaon
charāġh-e-tūr jalāo baḌā añdherā hai
zarā naqāb uThāo baḌā añdherā hai
charagh-e-tur jalao baDa andhera hai
zara naqab uThao baDa andhera hai
jo pardoñ meñ ḳhud ko chhupā.e hue haiñ
qayāmat vahī to uThā.e hue haiñ
jo pardon mein KHud ko chhupae hue hain
qayamat wahi to uThae hue hain
hai dekhne vāloñ ko sambhalne kā ishārā
thoḌī sī naqāb aaj vo sarkā.e hue haiñ
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
tum jo parde meñ sañvarte ho natīja kyā hai
lutf jab thā ki koī dekhne vaalā hotā
tum jo parde mein sanwarte ho natija kya hai
lutf jab tha ki koi dekhne wala hota
isī ummīd par to jī rahe haiñ hijr ke maare
kabhī to ruḳh se uTThegī naqāb āhista āhista
isi ummid par to ji rahe hain hijr ke mare
kabhi to ruKH se uTThegi naqab aahista aahista
-
Tag : Ummeed
zarā naqāb-e-hasīñ ruḳh se tum ulaT denā
ham apne dīda-o-dil kā ġhurūr dekheñge
zara naqab-e-hasin ruKH se tum ulaT dena
hum apne dida-o-dil ka ghurur dekhenge
kab tak chhupāoge ruḳh-e-zebā naqāb meñ
barq-e-jamāl rah nahīñ saktā hijāb meñ
kab tak chhupaoge ruKH-e-zeba naqab mein
barq-e-jamal rah nahin sakta hijab mein
naqāb kahtī hai maiñ parda-e-qayāmat huuñ
agar yaqīn na ho dekh lo uThā ke mujhe
naqab kahti hai main parda-e-qayamat hun
agar yaqin na ho dekh lo uTha ke mujhe
naqāb-e-ruḳh uThāyā jā rahā hai
vo niklī dhuup saayā jā rahā hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
wo nikli dhup saya ja raha hai
from the confines of the veil your face is now being freed
lo sunshine now emerges, the shadows now recede
-
Tag : Dhoop
ulTī ik haath se naqāb un kī
ek se apne dil ko thaam liyā
ulTi ek hath se naqab un ki
ek se apne dil ko tham liya
-
Tag : Dil
agarche vo be-parda aa.e hue haiñ
chhupāne kī chīzeñ chhupā.e hue haiñ
agarche wo be-parda aae hue hain
chhupane ki chizen chhupae hue hain
dīdār se pahle hī kyā haal huā dil kā
kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir
didar se pahle hi kya haal hua dil ka
kya hoga jo ulTenge wo ruKH se naqab aaKHir
tere qurbān 'qamar' muñh sar-e-gulzār na khol
sadqe us chāñd sī sūrat pe na ho jaa.e bahār
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar
-
Tags : Bahaarand 2 more
āñkhoñ ko dekhne kā salīqa jab aa gayā
kitne naqāb chehra-e-asrār se uThe
aankhon ko dekhne ka saliqa jab aa gaya
kitne naqab chehra-e-asrar se uThe
uTh ai naqāb-e-yār ki baiThe haiñ der se
kitne ġharīb dīda-e-pur-nam liye hue
uTh ai naqab-e-yar ki baiThe hain der se
kitne gharib dida-e-pur-nam liye hue
-
Tag : Deedar
go havā-e-gulsitāñ ne mire dil kī laaj rakh lī
vo naqāb ḳhud uThāte to kuchh aur baat hotī
go hawa-e-gulsitan ne mere dil ki laj rakh li
wo naqab KHud uThate to kuchh aur baat hoti
kisī meñ taab kahāñ thī ki dekhtā un ko
uThī naqāb to hairat naqāb ho ke rahī
kisi mein tab kahan thi ki dekhta un ko
uThi naqab to hairat naqab ho ke rahi
-
Tag : Husn
dekhtā maiñ use kyūñkar ki naqāb uThte hī
ban ke dīvār khaḌī ho ga.ī hairat merī
dekhta main use kyunkar ki naqab uThte hi
ban ke diwar khaDi ho gai hairat meri
mub.ham the sab nuqūsh naqāboñ kī dhund meñ
chehra ik aur bhī pas-e-chehra zarūr thā
mubham the sab nuqush naqabon ki dhund mein
chehra ek aur bhi pas-e-chehra zarur tha
naqāb uThāo to har shai ko pāoge sālim
ye kā.enāt ba-taur-e-hijāb TūTtī hai
naqab uThao to har shai ko paoge salim
ye kaenat ba-taur-e-hijab TuTti hai