Sher on Badan
Body and soul make us
complete. It is body, however, that is subject to ravages and the stock subject of poets who explore love, passion, and lust in all their manifestations. These poets think of body as a site of sin, of physical pleasure, as also of suffering that looks for balm. You may like to know how human body is more eloquent than souls sometimes and how poets appropriate this subject.
badan ke donoñ kināroñ se jal rahā huuñ maiñ
ki chhū rahā huuñ tujhe aur pighal rahā huuñ maiñ
badan ke donon kinaron se jal raha hun main
ki chhu raha hun tujhe aur pighal raha hun main
uf vo marmar se tarāshā huā shaffāf badan
dekhne vaale use tāj-mahal kahte haiñ
uf wo marmar se tarasha hua shaffaf badan
dekhne wale use taj-mahal kahte hain
-
Tag : Husn
kisī kalī kisī gul meñ kisī chaman meñ nahīñ
vo rañg hai hī nahīñ jo tire badan meñ nahīñ
kisi kali kisi gul mein kisi chaman mein nahin
wo rang hai hi nahin jo tere badan mein nahin
tujh sā koī jahān meñ nāzuk-badan kahāñ
ye pañkhuḌī se hoñT ye gul sā badan kahāñ
tujh sa koi jahan mein nazuk-badan kahan
ye pankhuDi se honT ye gul sa badan kahan
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab kī āñkheñ girvī haiñ is nagrī meñ
kaun badan se aage dekhe aurat ko
sab ki aankhen girwi hain is nagri mein
-
Tag : Aurat
ik buuñd zahr ke liye phailā rahe ho haath
dekho kabhī ḳhud apne badan ko nichoḌ ke
ek bund zahr ke liye phaila rahe ho hath
dekho kabhi KHud apne badan ko nichoD ke
vo sāf-go hai magar baat kā hunar sīkhe
badan hasīñ hai to kyā be-libās aa.egā
wo saf-go hai magar baat ka hunar sikhe
badan hasin hai to kya be-libas aaega
-
Tag : Hunar
gūñdh ke goyā pattī gul kī vo tarkīb banā.ī hai
rañg badan kā tab dekho jab cholī bhīge pasīne meñ
gundh ke goya patti gul ki wo tarkib banai hai
rang badan ka tab dekho jab choli bhige pasine mein
-
Tag : Husn
ḳhudā ke vāste gul ko na mere haath se lo
mujhe bū aatī hai is meñ kisī badan kī sī
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
-
Tag : Phool
yaad aate haiñ mo.ajaze apne
aur us ke badan kā jaadū bhī
yaad aate hain moajaze apne
aur us ke badan ka jadu bhi
-
Tag : Yaad
rāsta de ki mohabbat meñ badan shāmil hai
maiñ faqat ruuh nahīñ huuñ mujhe halkā na samajh
rasta de ki mohabbat mein badan shamil hai
main faqat ruh nahin hun mujhe halka na samajh
-
Tags : Ishqand 1 more
ruuh ko ruuh se milne nahīñ detā hai badan
ḳhair ye biich kī dīvār girā chāhtī hai
ruh ko ruh se milne nahin deta hai badan
KHair ye bich ki diwar gira chahti hai
maiñ us ke badan kī muqaddas kitāb
nihāyat aqīdat se paḌhtā rahā
main us ke badan ki muqaddas kitab
nihayat aqidat se paDhta raha
-
Tag : Kitab
haa.e vo us kā mauj-ḳhez badan
maiñ to pyāsā rahā lab-e-jū bhī
hae wo us ka mauj-KHez badan
main to pyasa raha lab-e-ju bhi
nūr-e-badan se phailī añdhere meñ chāñdnī
kapḌe jo us ne shab ko utāre palañg par
nur-e-badan se phaili andhere mein chandni
kapDe jo us ne shab ko utare palang par
kyā badan hai ki Thahartā hī nahīñ āñkhoñ meñ
bas yahī dekhtā rahtā huuñ ki ab kyā hogā
kya badan hai ki Thaharta hi nahin aankhon mein
bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga
sharm bhī ik tarah kī chorī hai
vo badan ko churā.e baiThe haiñ
sharm bhi ek tarah ki chori hai
wo badan ko churae baiThe hain
-
Tag : Sharm
magar giraft meñ aatā nahīñ badan us kā
ḳhayāl DhūñDhtā rahtā hai isti.āra koī
magar giraft mein aata nahin badan us ka
KHayal DhunDhta rahta hai istiara koi
ab dekhtā huuñ maiñ to vo asbāb hī nahīñ
lagtā hai rāste meñ kahīñ khul gayā badan
ab dekhta hun main to wo asbab hi nahin
lagta hai raste mein kahin khul gaya badan
-
Tag : Asbaab
vo apne husn kī ḳhairāt dene vaale haiñ
tamām jism ko kaasa banā ke chalnā hai
wo apne husn ki KHairaat dene wale hain
tamam jism ko kasa bana ke chalna hai
-
Tag : Husn
rakh dī hai us ne khol ke ḳhud jism kī kitāb
saada varaq pe le koī manzar utaar de
rakh di hai us ne khol ke KHud jism ki kitab
sada waraq pe le koi manzar utar de
-
Tag : Kitab
DhūñDtā huuñ maiñ zamīñ achchhī sī
ye badan jis meñ utārā jaa.e
DhunDta hun main zamin achchhi si
ye badan jis mein utara jae
maiñ terī manzil-e-jāñ tak pahuñch to saktā huñ
magar ye raah badan kī taraf se aatī hai
main teri manzil-e-jaan tak pahunch to sakta hun
magar ye rah badan ki taraf se aati hai
añdherī rātoñ meñ dekh lenā
dikhā.ī degī badan kī ḳhushbū
andheri raaton mein dekh lena
dikhai degi badan ki KHushbu
jī chāhtā hai haath lagā kar bhī dekh leñ
us kā badan qabā hai ki us kī qabā badan
ji chahta hai hath laga kar bhi dekh len
us ka badan qaba hai ki us ki qaba badan
lagte hī haath ke jo khīñche hai ruuh tan se
kyā jāneñ kyā vo shai hai us ke badan ke andar
lagte hi hath ke jo khinche hai ruh tan se
kya jaanen kya wo shai hai us ke badan ke andar
tire badan kī ḳhalāoñ meñ aañkh khultī hai
havā ke jism se jab jab lipaT ke sotā huuñ
tere badan ki KHalaon mein aankh khulti hai
hawa ke jism se jab jab lipaT ke sota hun
-
Tags : Hawaand 1 more
kyā badan hogā ki jis ke kholte jaame kā band
barg-e-gul kī tarah har nāḳhun mo.attar ho gayā
kya badan hoga ki jis ke kholte jame ka band
barg-e-gul ki tarah har naKHun moattar ho gaya
kyā sabab tere badan ke garm hone kā sajan
āshiqoñ meñ kaun jaltā thā gale kis ke lagā
kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan
aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga
chaman vahī ki jahāñ par laboñ ke phuul khileñ
badan vahī ki jahāñ raat ho gavārā bhī
chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen
badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi
kyā kyā badan-e-sāf nazar aate haiñ ham ko
kyā kyā shikam o naaf nazar aate haiñ ham ko
kya kya badan-e-saf nazar aate hain hum ko
kya kya shikam o naf nazar aate hain hum ko
ye be-kanār badan kaun paar kar paayā
bahe chale ga.e sab log is ravānī meñ
ye be-kanar badan kaun par kar paya
bahe chale gae sab log is rawani mein
badan pe pairahan-e-ḳhāk ke sivā kyā hai
mire alaav meñ ab raakh ke sivā kyā hai
badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai
mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai
us vaqt jaan pyāre ham pāvate haiñ jī sā
lagtā hai jab badan se taire badan hamārā
us waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa
lagta hai jab badan se taire badan hamara
bahut lambī masāfat hai badan kī
musāfir mubtadī thakne lagā hai
bahut lambi masafat hai badan ki
musafir mubtadi thakne laga hai
mohabbat ke Thikāne DhūñDhtī hai
badan kī lā-makānī mausamoñ meñ
mohabbat ke Thikane DhunDhti hai
badan ki la-makani mausamon mein
yuuñ hai Dalak badan kī us pairahan kī tah meñ
surḳhī badan kī jaise chhalke badan kī tah meñ
yun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surKHi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
sard rātoñ kā taqāza thā badan jal jaa.e
phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne
sard raaton ka taqaza tha badan jal jae
phir wo ek aag jo sine se lagai main ne
ye tiir yuuñ hī nahīñ dushmanoñ talak jaate
badan kā saarā khichāo kamāñ pe paḌtā hai
ye tir yun hi nahin dushmanon talak jate
badan ka sara khichao kaman pe paDta hai
-
Tag : Teer
har ek saaz ko sāzindagāñ nahīñ darkār
badan ko zarbat-e-mizrāb se ilāqa nahīñ
har ek saz ko sazindagan nahin darkar
badan ko zarbat-e-mizrab se ilaqa nahin
chhalak rahī hai udāsī badan ke bartan se
ye bhar gayā hai mujhe dūsrā diyā jaa.e
chhalak rahi hai udasi badan ke bartan se
ye bhar gaya hai mujhe dusra diya jae