Sher on Bahaar
Spring is a season that
we all love for the beauty and aroma it spread all around. It is a face of nature that poets have drawn upon frequently not only to portray a season but also a state of our lives. It has also been used as a metaphor in love poetry. We have made a selection of verses on this theme for you to read and enjoy.
bahāroñ kī nazar meñ phuul aur kāñTe barābar haiñ
mohabbat kyā kareñge dost dushman dekhne vaale
bahaaron ki nazar mein phul aur kanTe barabar hain
mohabbat kya karenge dost dushman dekhne wale
ai dil-e-be-qarār chup ho jā
jā chukī hai bahār chup ho jā
ai dil-e-be-qarar chup ho ja
ja chuki hai bahaar chup ho ja
maiñ ne dekhā hai bahāroñ meñ chaman ko jalte
hai koī ḳhvāb kī tābīr batāne vaalā
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi KHwab ki tabir batane wala
-
Tags : Gulshanand 1 more
bahār aa.e to merā salām kah denā
mujhe to aaj talab kar liyā hai sahrā ne
bahaar aae to mera salam kah dena
mujhe to aaj talab kar liya hai sahra ne
-
Tag : Sahra
mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
-
Tags : Ghamand 2 more
merī āñkhoñ meñ haiñ aañsū tere dāman meñ bahār
gul banā saktā hai tū shabnam banā saktā huuñ maiñ
meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar
gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main
-
Tag : Aansoo
afsurdagī bhī husn hai tābindagī bhī husn
ham ko ḳhizāñ ne tum ko sañvārā bahār ne
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
hum ko KHizan ne tum ko sanwara bahaar ne
-
Tags : Husnand 1 more
shaguftagī-e-dil-e-kārvāñ ko kyā samjhe
vo ik nigāh jo uljhī huī bahār meñ hai
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
-
Tag : Nigaah
Tuk dekh leñ chaman ko chalo lāla-zār tak
kyā jaane phir ji.eñ na ji.eñ ham bahār tak
Tuk dekh len chaman ko chalo lala-zar tak
kya jaane phir jien na jien hum bahaar tak
us ko ḳhizāñ ke aane kā kyā ranj kyā qalaq
rote kaTā ho jis ko zamāna bahār kā
us ko KHizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kaTa ho jis ko zamana bahaar ka
na sair-e-bāġh na milnā na mīThī bāteñ haiñ
ye din bahār ke ai jaan muft jaate haiñ
na sair-e-bagh na milna na miThi baaten hain
ye din bahaar ke ai jaan muft jate hain
mujh ko ehsās-e-rañg-o-bū na huā
yuuñ bhī aksar bahār aa.ī hai
mujh ko ehsas-e-rang-o-bu na hua
yun bhi aksar bahaar aai hai
jab se chhūTā hai gulistāñ ham se
roz sunte haiñ bahār aa.ī hai
jab se chhuTa hai gulistan hum se
roz sunte hain bahaar aai hai
is taraf se guzre the qāfile bahāroñ ke
aaj tak sulagte haiñ zaḳhm rahguzāroñ ke
is taraf se guzre the qafile bahaaron ke
aaj tak sulagte hain zaKHm rahguzaron ke
-
Tag : Zakhm
ḳhushī ke phuul khile the tumhāre saath kabhī
phir is ke ba.ad na aayā bahār kā mausam
KHushi ke phul khile the tumhaare sath kabhi
phir is ke baad na aaya bahaar ka mausam
kahiyo sabā salām hamārā bahār se
ham to chaman ko chhoḌ ke sū-e-qafas chale
kahiyo saba salam hamara bahaar se
hum to chaman ko chhoD ke su-e-qafas chale
tere qurbān 'qamar' muñh sar-e-gulzār na khol
sadqe us chāñd sī sūrat pe na ho jaa.e bahār
tere qurban 'qamar' munh sar-e-gulzar na khol
sadqe us chand si surat pe na ho jae bahaar
-
Tags : Husnand 2 more
bahār aa.ī ki din holī ke aa.e
guloñ meñ rañg khelā jā rahā hai
bahaar aai ki din holi ke aae
gulon mein rang khela ja raha hai
-
Tags : Festivaland 2 more
tinkoñ se khelte hī rahe āshiyāñ meñ ham
aayā bhī aur gayā bhī zamāna bahār kā
tinkon se khelte hi rahe aashiyan mein hum
aaya bhi aur gaya bhi zamana bahaar ka
ajab bahār dikhā.ī lahū ke chhīñToñ ne
ḳhizāñ kā rañg bhī rañg-e-bahār jaisā thā
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
mirī bahār meñ aalam ḳhizāñ kā rahtā hai
huā jo vasl to khaTkā rahā judā.ī kā
meri bahaar mein aalam KHizan ka rahta hai
hua jo wasl to khaTka raha judai ka
ai ḳhizāñ bhaag jā chaman se shitāb
varna fauj-e-bahār aave hai
ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai
-
Tag : Khizan
shāḳhoñ se barg-e-gul nahīñ jhaḌte haiñ baaġh meñ
zevar utar rahā hai urūs-e-bahār kā
shaKHon se barg-e-gul nahin jhaDte hain bagh mein
zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka
aaj hai vo bahār kā mausam
phuul toḌūñ to haath jaam aa.e
aaj hai wo bahaar ka mausam
phul toDun to hath jam aae
ga.ī bahār magar apnī be-ḳhudī hai vahī
samajh rahā huuñ ki ab tak bahār baaqī hai
gai bahaar magar apni be-KHudi hai wahi
samajh raha hun ki ab tak bahaar baqi hai
-
Tag : Bekhudi
jo thī bahār to gaate rahe bahār kā raag
ḳhizāñ jo aa.ī to ham ho ga.e ḳhizāñ kī taraf
jo thi bahaar to gate rahe bahaar ka rag
KHizan jo aai to hum ho gae KHizan ki taraf
maiñ us gulshan kā bulbul huuñ bahār aane nahīñ paatī
ki sayyād aan kar merā gulistāñ mol lete haiñ
main us gulshan ka bulbul hun bahaar aane nahin pati
ki sayyaad aan kar mera gulistan mol lete hain
guloñ kā daur hai bulbul maze bahār meñ luuT
ḳhizāñ machāegī aate hī is dayār meñ luuT
gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT
KHizan machaegi aate hi is dayar mein luT
udhar bhī ḳhaak uḌī hai idhar bhī ḳhaak uḌī
jahāñ jahāñ se bahāroñ ke kārvāñ nikle
udhar bhi KHak uDi hai idhar bhi KHak uDi
jahan jahan se bahaaron ke karwan nikle
bahār aate hī Takrāne lage kyuuñ sāġhar o miinā
batā ai pīr-e-mai-ḳhāna ye mai-ḳhānoñ pe kyā guzrī
bahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina
bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri
bahār aa.ī guloñ ko hañsī nahīñ aa.ī
kahīñ se bū tirī guftār kī nahīñ aa.ī
bahaar aai gulon ko hansi nahin aai
kahin se bu teri guftar ki nahin aai
-
Tag : Phool
taḌap ke rah ga.ī bulbul qafas meñ ai sayyād
ye kyā kahā ki abhī tak bahār baaqī hai
taDap ke rah gai bulbul qafas mein ai sayyaad
ye kya kaha ki abhi tak bahaar baqi hai
kyā ḳhabar mujh ko ḳhizāñ kyā chiiz hai kaisī bahār
āñkheñ kholīñ aa ke maiñ ne ḳhāna-e-sayyād meñ
kya KHabar mujh ko KHizan kya chiz hai kaisi bahaar
aankhen kholin aa ke main ne KHana-e-sayyaad mein
ġhurūr se jo zamīñ par qadam nahīñ rakhtī
ye kis galī se nasīm-e-bahār aatī hai
ghurur se jo zamin par qadam nahin rakhti
ye kis gali se nasim-e-bahaar aati hai
'arsh' bahāroñ meñ bhī aayā ek nazāra patjhaḌ kā
sabz shajar ke sabz tane par ik sūkhī sī Daalī thī
'arsh' bahaaron mein bhi aaya ek nazara patjhaD ka
sabz shajar ke sabz tane par ek sukhi si Dali thi
-
Tag : Shajar
mire ḳhayāl kī vus.at meñ haiñ hazār chaman
kahāñ kahāñ se nikālegī ye bahār mujhe
mere KHayal ki wusat mein hain hazar chaman
kahan kahan se nikalegi ye bahaar mujhe
chaar din kī bahār hai saarī
ye takabbur hai yār-e-jānī hech
chaar din ki bahaar hai sari
ye takabbur hai yar-e-jaani hech
na.ī bahār kā muzhda bajā sahī lekin
abhī to aglī bahāroñ kā zaḳhm taaza hai
nai bahaar ka muzhda baja sahi lekin
abhi to agli bahaaron ka zaKHm taza hai
apne dāman meñ ek taar nahīñ
aur saarī bahār baaqī hai
apne daman mein ek tar nahin
aur sari bahaar baqi hai
kyā isī ko bahār kahte haiñ
lāla-o-gul se ḳhuuñ Tapaktā hai
kya isi ko bahaar kahte hain
lala-o-gul se KHun Tapakta hai
ḳhizāñ ruḳhsat huī phir āmad-e-fasl-e-bahārī hai
garebāñ ḳhud-baḳhud hone lagā hai dhajjiyāñ merā
KHizan ruKHsat hui phir aamad-e-fasl-e-bahaari hai
gareban KHud-baKHud hone laga hai dhajjiyan mera
shagufta bāġh-e-suḳhan hai hamīñ se ai 'sābir'
jahāñ meñ misl-e-nasīm-e-bahār ham bhī haiñ
shagufta bagh-e-suKHan hai hamin se ai 'sabir'
jahan mein misl-e-nasim-e-bahaar hum bhi hain
phuul par gulshan ke goyā dāna-e-shabnam nahīñ
āshiqoñ ke haal par āñkheñ phirātī hai bahār
phul par gulshan ke goya dana-e-shabnam nahin
aashiqon ke haal par aankhen phiraati hai bahaar
kiyā hañgāma-e-gul ne mirā josh-e-junūñ taaza
udhar aa.ī bahār īdhar garebāñ kā rafū TuuTā
kiya hangama-e-gul ne mera josh-e-junun taza
udhar aai bahaar idhar gareban ka rafu TuTa
bahār chāk-e-girebāñ meñ Thahr jaatī hai
junūñ kī mauj koī āstīñ meñ hotī hai
bahaar chaak-e-gireban mein Thahr jati hai
junun ki mauj koi aastin mein hoti hai