Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ameer Minai's Photo'

Ameer Minai

1829 - 1900 | Hyderabad, India

Eminent Urdu Poet and contemporary of Dagh Dehlvi. Famous for penning ghazal "Sarakti jaye hai rukh se naqaab aahista aahista".

Eminent Urdu Poet and contemporary of Dagh Dehlvi. Famous for penning ghazal "Sarakti jaye hai rukh se naqaab aahista aahista".

Sher of Ameer Minai

90.8K
Favorite

SORT BY

shāḳhoñ se barg-e-gul nahīñ jhaḌte haiñ baaġh meñ

zevar utar rahā hai urūs-e-bahār

shaKHon se barg-e-gul nahin jhaDte hain bagh mein

zewar utar raha hai urus-e-bahaar ka

vasl din aur itnā muḳhtasar

din gine jaate the is din ke liye

wasl ka din aur itna muKHtasar

din gine jate the is din ke liye

maañg luuñ tujh se tujhī ko ki sabhī kuchh mil jaa.e

sau savāloñ se yahī ek savāl achchhā hai

mang lun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jae

sau sawalon se yahi ek sawal achchha hai

pahlū meñ mere dil ko na ai dard kar talāsh

muddat huī ġharīb vatan se nikal gayā

pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash

muddat hui gharib watan se nikal gaya

aa.e but-ḳhāne se ka.abe ko to kyā bhar paayā

paḌe the to vahīñ ham ko paḌā rahnā thā

aae but-KHane se kabe ko to kya bhar paya

ja paDe the to wahin hum ko paDa rahna tha

ye kahūñgā ye kahūñgā ye abhī kahte ho

sāmne un ke bhī jab hazrat-e-dil yaad rahe

ye kahunga ye kahunga ye abhi kahte ho

samne un ke bhi jab hazrat-e-dil yaad rahe

aafat to hai vo naaz bhī andāz bhī lekin

martā huuñ maiñ jis par vo adā aur kuchh hai

aafat to hai wo naz bhi andaz bhi lekin

marta hun main jis par wo ada aur hi kuchh hai

āne-jāne pe saañs ke hai madār

saḳht nā-pā.edār hai duniyā

aane-jaane pe sans ke hai madar

saKHt na-paedar hai duniya

sīdhī nigāh meñ tirī haiñ tiir ke ḳhvās

tirchhī zarā huī to haiñ shamshīr ke ḳhvās

sidhi nigah mein teri hain tir ke KHwas

tirchhi zara hui to hain shamshir ke KHwas

saarā parda hai duī jo ye parda uTh jaa.e

gardan-e-shaiḳh meñ zunnār barhaman Daale

sara parda hai dui ka jo ye parda uTh jae

gardan-e-shaiKH mein zunnar barhaman Dale

zāhid umīd-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai

pahle sharāb ke gunāh-gār bhī to ho

zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai

pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho

haTāo aa.ina ummīd-vār ham bhī haiñ

tumhāre dekhne vāloñ meñ yaar ham bhī haiñ

haTao aaina ummid-war hum bhi hain

tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain

mauqūf jurm pe karam zuhūr thā

bande agar qusūr na karte qusūr thā

mauquf jurm hi pe karam ka zuhur tha

bande agar qusur na karte qusur tha

allāh-re us gul kalā.ī nazākat

bal khā ga.ī jab bojh paḌā rañg-e-hinā

allah-re us gul ki kalai ki nazakat

bal kha gai jab bojh paDa rang-e-hina ka

bosa liyā jo us lab-e-shīrīñ mar ga.e

jaan ham ne chashma-e-āb-e-hayāt par

bosa liya jo us lab-e-shirin ka mar gae

di jaan hum ne chashma-e-ab-e-hayat par

milā kar ḳhaak meñ bhī haa.e sharm un nahīñ jaatī

nigah nīchī kiye vo sāmne madfan ke baiThe haiñ

mila kar KHak mein bhi hae sharm un ki nahin jati

nigah nichi kiye wo samne madfan ke baiThe hain

masjid meñ bulāte haiñ hameñ zāhid-e-nā-fahm

hotā kuchh agar hosh to mai-ḳhāne na jaate

masjid mein bulate hain hamein zahid-e-na-fahm

hota kuchh agar hosh to mai-KHane na jate

lutf aane lagā jafāoñ meñ

vo kahīñ mehrbāñ na ho jaa.e

I've started to enjoy her tortures by and by

I hope she doesn't now decide to

lutf aane laga jafaon mein

wo kahin mehrban na ho jae

I've started to enjoy her tortures by and by

I hope she doesn't now decide to

allāh-rī nazākat-e-jānāñ ki sher meñ

mazmūñ bañdhā kamar to dard-e-kamar huā

allah-ri nazakat-e-jaanan ki sher mein

mazmun bandha kamar ka to dard-e-kamar hua

baaqī na dil meñ koī bhī rab havas rahe

chaudah baras ke sin meñ vo lākhoñ baras rahe

O lord no other lust may this heart contain

at this tender age may forever she remain

baqi na dil mein koi bhi ya rab hawas rahe

chaudah baras ke sin mein wo lakhon baras rahe

O lord no other lust may this heart contain

at this tender age may forever she remain

bāġhbāñ kaliyāñ hoñ halke rañg

bhejnī haiñ ek kam-sin ke liye

baghban kaliyan hon halke rang ki

bhejni hain ek kam-sin ke liye

roz-o-shab yaañ ek hai raushnī

dil ke dāġhoñ charāġhāñ aur hai

roz-o-shab yan ek si hai raushni

dil ke daghon ka charaghan aur hai

rāste aur tavāzo.a meñ hai rabt-e-qalbī

jis tarah laam alif meñ hai alif laam meñ hai

raste aur tawazoa mein hai rabt-e-qalbi

jis tarah lam alif mein hai alif lam mein hai

vo dushmanī se dekhte haiñ dekhte to haiñ

maiñ shaad huuñ ki huuñ to kisī nigāh meñ

wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain

main shad hun ki hun to kisi ki nigah mein

sab hasīñ haiñ zāhidoñ ko nā-pasand

ab koī huur aa.egī un ke liye

sab hasin hain zahidon ko na-pasand

ab koi hur aaegi un ke liye

misī chhūTī huī sūkhe hue hoñT

ye sūrat aur aap aate haiñ ghar se

misi chhuTi hui sukhe hue honT

ye surat aur aap aate hain ghar se

muddat meñ shām-e-vasl huī hai mujhe nasīb

do-chār saal tak to ilāhī sahar na ho

muddat mein sham-e-wasl hui hai mujhe nasib

do-chaar sal tak to ilahi sahar na ho

vasl meñ ḳhālī huī ġhair se mahfil to kyā

sharm bhī jaa.e to maiñ jānūñ ki tanhā.ī huī

so what if all my rivals from the gathering have gone

when her coyness too departs will we be then alone

wasl mein KHali hui ghair se mahfil to kya

sharm bhi jae to main jaanun ki tanhai hui

so what if all my rivals from the gathering have gone

when her coyness too departs will we be then alone

vo phuul sar chaḌhā jo chaman se nikal gayā

izzat use milī jo vatan se nikal gayā

wo phul sar chaDha jo chaman se nikal gaya

izzat use mili jo watan se nikal gaya

chaar jhoñke jab chale ThanDe chaman yaad aa gayā

sard aaheñ jab kisī ne liiñ vatan yaad aa gayā

chaar jhonke jab chale ThanDe chaman yaad aa gaya

sard aahen jab kisi ne lin watan yaad aa gaya

vahī rah jaate haiñ zabānoñ par

sher jo intiḳhāb hote haiñ

wahi rah jate hain zabanon par

sher jo intiKHab hote hain

saadā samjho na inheñ rahne do dīvāñ meñ 'amīr'

yahī ash.ār zabānoñ pe haiñ rahne vaale

sada samjho na inhen rahne do diwan mein 'amir'

yahi ashaar zabanon pe hain rahne wale

rahā ḳhvāb meñ un se shab bhar visāl

mire baḳht jaage maiñ soyā kiyā

raha KHwab mein un se shab bhar visal

mere baKHt jage main soya kiya

laa.e kahāñ se us ruḳh-e-raushan āb-o-tāb

bejā nahīñ jo sharm se hai aab aab sham.a

lae kahan se us ruKH-e-raushan ki aab-o-tab

beja nahin jo sharm se hai aab aab shama

ye bhī ik baat hai adāvat

roza rakkhā jo ham ne dāvat

ye bhi ek baat hai adawat ki

roza rakkha jo hum ne dawat ki

hai vasiyyat ki kafan mujh ko isī denā

haath aa jaa.e jo utrā huā pairāhan-e-dost

hai wasiyyat ki kafan mujh ko isi ka dena

hath aa jae jo utra hua pairahan-e-dost

aayā na ek baar ayādat ko masīh

sau baar maiñ fareb se bīmār ho chukā

aaya na ek bar ayaadat ko tu masih

sau bar main fareb se bimar ho chuka

qarīb hai yaar roz-e-mahshar chhupegā kushtoñ qatl kyūñkar

jo chup rahegī zabān-e-ḳhanjar lahū pukāregā āstīñ

qarib hai yar roz-e-mahshar chhupega kushton ka qatl kyunkar

jo chup rahegi zaban-e-KHanjar lahu pukarega aastin ka

firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakkhā

kabhī takiya idhar rakkhā kabhī takiya udhar rakkhā

firaq-e-yar ne bechain mujh ko raat bhar rakkha

kabhi takiya idhar rakkha kabhi takiya udhar rakkha

qasr-e-tan bigḌā kisī gorkan ban paḌī

ghar kisī gir paḌā ghar bin gayā mazdūr

qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi

ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka

gaahe gaahe mulāqāt achchhī hai 'amīr'

qadr kho detā hai har roz aanā jaanā

gahe gahe ki mulaqat hi achchhi hai 'amir'

qadr kho deta hai har roz ka aana jaana

hañs ke farmāte haiñ vo dekh ke hālat merī

kyuuñ tum āsān samajhte the mohabbat merī

seeing my condition, she laughs and asks of me

Easy did you then imagine, loving me would be?

hans ke farmate hain wo dekh ke haalat meri

kyun tum aasan samajhte the mohabbat meri

seeing my condition, she laughs and asks of me

Easy did you then imagine, loving me would be?

shā.er ko mast kartī hai tārīf-e-sher 'amīr'

sau botaloñ nashsha hai is vaah vaah meñ

shaer ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir'

sau botalon ka nashsha hai is wah wah mein

vaa.e qismat vo bhī kahte haiñ burā

ham bure sab se hue jin ke liye

wae qismat wo bhi kahte hain bura

hum bure sab se hue jin ke liye

taraf-e-ka.aba na haj ke liye nādāñ hai

ġhaur kar dekh ki hai ḳhāna-e-dil maskan-e-dost

taraf-e-kaba na ja haj ke liye nadan hai

ghaur kar dekh ki hai KHana-e-dil maskan-e-dost

tavaqqo.a hai dhoke meñ aa kar vo paḌh leñ

ki likkhā hai naamā unheñ ḳhat badal kar

tawaqqoa hai dhoke mein aa kar wo paDh len

ki likkha hai nama unhen KHat badal kar

ka.aba-e-ruḳh taraf paḌhnī hai āñkhoñ se namāz

chāhiye gard-e-nazar bahr-e-tayammum mujh ko

kaba-e-ruKH ki taraf paDhni hai aankhon se namaz

chahiye gard-e-nazar bahr-e-tayammum mujh ko

tum ko aatā hai pyaar par ġhussa

mujh ko ġhusse pe pyaar aatā hai

tum ko aata hai pyar par ghussa

mujh ko ghusse pe pyar aata hai

in shoḳh hasīnoñ pe jo maa.il nahīñ hotā

kuchh aur balā hotī hai vo dil nahīñ hotā

in shoKH hasinon pe jo mail nahin hota

kuchh aur bala hoti hai wo dil nahin hota

shauq kahtā hai pahuñch jā.ūñ maiñ ab kaabe meñ jald

raah meñ but-ḳhāna paḌtā hai ilāhī kyā karūñ

shauq kahta hai pahunch jaun main ab kabe mein jald

rah mein but-KHana paDta hai ilahi kya karun

Recitation

Speak Now