Sher of Shaikh Zahuruddin Hatim
kab ye dil o dimāġh hai minnat-e-sham.a khīñchiye
ḳhāna-e-dil-jaloñ ke biich dāġh-e-jigar charāġh hai
kab ye dil o dimagh hai minnat-e-shama khinchiye
KHana-e-dil-jalon ke bich dagh-e-jigar charagh hai
ri.āyat buujh tū ma.ashūq kā jaur
ki tujh ko ishq meñ kāmil kare hai
riayat bujh tu mashuq ka jaur
ki tujh ko ishq mein kaamil kare hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bāzār se aa.e haath ḳhālī
kiise meñ daam kuchh na niklā
bazar se aae hath KHali
kise mein dam kuchh na nikla
raat us kī mahfil meñ sar se jal ke paañv tak
sham.a kī pighal charbī ustuḳhāñ nikal aa.ī
raat us ki mahfil mein sar se jal ke panw tak
shama ki pighal charbi ustuKHan nikal aai
-
Tag : Shama
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
husn ā.īna faash kartā hai
aise dushman ko sañgsār karo
husn aaina fash karta hai
aise dushman ko sangsar karo
tanhā.ī se aatī nahīñ din raat mujhe niiñd
yā-rab mirā ham-ḳhvāb o ham-āġhosh kahāñ hai
tanhai se aati nahin din raat mujhe nind
ya-rab mera ham-KHwab o ham-aghosh kahan hai
jī uThūñ phir kar agar tū ek bosa de mujhe
chūsnā lab kā tire hai mujh ko juuñ āb-e-hayāt
ji uThun phir kar agar tu ek bosa de mujhe
chusna lab ka tere hai mujh ko jun aab-e-hayat
daurā hai jab se bazm meñ terī sharāb kā
bāzār garm hai mire dil ke kabāb kā
daura hai jab se bazm mein teri sharab ka
bazar garm hai mere dil ke kabab ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhupātā kyā hai muñh kab tak chhupegā
tujhe sab shahr-e-qātil jāntā hai
chhupata kya hai munh kab tak chhupega
tujhe sab shahr-e-qatil jaanta hai
tumhārī dekh saj ai tañg-posho
hue Dhīle mire kapḌe badan ke
tumhaari dekh saj ai tang-posho
hue Dhile mere kapDe badan ke
dahan hai tañg shakar aur shakar hai tirā hai kalām
labāñ haiñ pista zanaḳh seb o chashm haiñ bādām
dahan hai tang shakar aur shakar hai tera hai kalam
laban hain pista zanaKH seb o chashm hain baadam
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek bosa māñgtā hai tum se 'hātim' sā gadā
jāniyo rāh-e-ḳhudā meñ ye bhī ik ḳhairāt kī
ek bosa mangta hai tum se 'hatim' sa gada
jaaniyo rah-e-KHuda mein ye bhi ek KHairaat ki
saaf dil hai to aa kudūrat chhoḌ
mil har ik rañg biich aab kī tarah
saf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ek rang bich aab ki tarah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bait-bahsī na kar ai fāḳhta gulshan meñ ki aaj
misra-e-sarv se mauzūñ hai mirā misra-e-āh
bait-bahsi na kar ai faKHta gulshan mein ki aaj
misra-e-sarw se mauzun hai mera misra-e-ah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ishq-bāzī bul-havas baazī na jaan
ishq hai ye ḳhāna-e-ḳhāla nahīñ
ishq-bazi bul-hawas bazi na jaan
ishq hai ye KHana-e-KHala nahin
kaheñ ham bahr-e-be-pāyān-e-ġham kī māhiyat kis se
na lahroñ se koī vāqif na koī thaah jaane hai
kahen hum bahr-e-be-payan-e-gham ki mahiyat kis se
na lahron se koi waqif na koi thah jaane hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
holī ke ab bahāne chhiḌkā hai rañg kis ne
nām-e-ḳhudā tujh uupar is aan ajab samāñ hai
holi ke ab bahane chhiDka hai rang kis ne
nam-e-KHuda tujh upar is aan ajab saman hai
-
Tag : Holi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil dekhte hī us ko giraftār ho gayā
rusvā-e-shahr-o-kūcha-o-bāzār ho gayā
dil dekhte hi us ko giraftar ho gaya
ruswa-e-shahr-o-kucha-o-bazar ho gaya
zulfoñ kī nāganī to tirī ham ne keliyāñ
par abruvāñ se bas nahīñ chaltā ki haiñ pañkīt
zulfon ki nagani to teri hum ne keliyan
par abruwan se bas nahin chalta ki hain pankit
jaama uryānī kā qāmat par mirī aayā hai raast
ab mujhe nām-e-libās-e-āriyat se nañg hai
jama uryani ka qamat par meri aaya hai rast
ab mujhe nam-e-libas-e-ariyat se nang hai
tire ruḳhsār se be-tarah lipTī jaa.e hai zālim
jo kuchh kahiye to bal khā uljhatī hai zulf be-Dhañgī
tere ruKHsar se be-tarah lipTi jae hai zalim
jo kuchh kahiye to bal kha uljhati hai zulf be-Dhangi
jis taraf ko maiñ gayā rotā huā
tā-falak rū-e-zamīñ dariyā huā
jis taraf ko main gaya rota hua
ta-falak ru-e-zamin dariya hua
mashrab meñ to durust ḳharābātiyoñ ke hai
maz.hab meñ zāhidoñ ke nahīñ gar ravā sharāb
mashrab mein to durust KHarabaatiyon ke hai
mazhab mein zahidon ke nahin gar rawa sharab
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chhal-bal us kī nigāh kā mat pūchh
sehr hai ToTkā hai Tonā hai
chhal-bal us ki nigah ka mat puchh
sehr hai ToTka hai Tona hai
-
Tag : Nigaah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe ta.avīz likh do ḳhūn-e-āhū se ki ai syāno
taġhāful ToTkā hai aur jaadū hai nazar us kī
mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano
taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki
adl se kar saltanat ai dil tū tan ke mulk meñ
vaqt-e-fursat buujh le ye hukmarānī phir kahāñ
adl se kar saltanat ai dil tu tan ke mulk mein
waqt-e-fursat bujh le ye hukmarani phir kahan
muddat se aarzū hai ḳhudā vo ghaḌī kare
ham tum piyeñ jo mil ke kahīñ ek jā sharāb
muddat se aarzu hai KHuda wo ghaDi kare
hum tum piyen jo mil ke kahin ek ja sharab
maiñ jitnā DhūñDhtā huuñ us ko utnā hī nahīñ paatā
kidhar hai kis taraf hai aur kahāñ hai dil ḳhudā jaane
main jitna DhunDhta hun us ko utna hi nahin pata
kidhar hai kis taraf hai aur kahan hai dil KHuda jaane
taabe razā kā us kī azal siiñ kiyā mujhe
chaltā nahīñ hai zor kisūñ kā qazā ke haath
tabe raza ka us ki azal sin kiya mujhe
chalta nahin hai zor kisun ka qaza ke hath
-
Tag : Maut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāñd se tujh ko jo de nisbat so be-insāf hai
chāñd ke muñh par haiñ chhā.īñ terā mukhḌā saaf hai
chand se tujh ko jo de nisbat so be-insaf hai
chand ke munh par hain chhain tera mukhDa saf hai
jab tak ki garebān meñ yak taar rahegā
tab tak mirī gardan ke upar baar rahegā
jab tak ki gareban mein yak tar rahega
tab tak meri gardan ke upar bar rahega
tum to baiThe hue pur-āfat ho
uTh khaḌe ho to kyā qayāmat ho
tum to baiThe hue pur-afat ho
uTh khaDe ho to kya qayamat ho
dil us kī tār-e-zulf ke bal meñ ulajh gayā
suljhegā kis tarah se ye bistār hai ġhazab
dil us ki tar-e-zulf ke bal mein ulajh gaya
suljhega kis tarah se ye bistar hai ghazab
kabhū tū ro to us ko ḳhaak uupar jā ke ai lailā
ki bin paanī jañgal meñ ruuh majnūñ kī bhaTaktī hai
kabhu tu ro to us ko KHak upar ja ke ai laila
ki bin pani jangal mein ruh majnun ki bhaTakti hai
aisā karūñgā ab ke garebāñ ko taar taar
jo phir kisī tarah se kisī se rafū na ho
aisa karunga ab ke gareban ko tar tar
jo phir kisi tarah se kisi se rafu na ho
bul-havas go kareñ tere lab-e-shīrīñ par hujūm
talḳh mat ho ki miThā.ī se magas aatī hai
bul-hawas go karen tere lab-e-shirin par hujum
talKH mat ho ki miThai se magas aati hai
ghar-ba-ghar hai vo mast-e-ishva-o-nāz
dar-ba-dar ham ḳharāb hote haiñ
ghar-ba-ghar hai wo mast-e-ishwa-o-naz
dar-ba-dar hum KHarab hote hain
asīroñ kā nahīñ kuchh shor-o-ġhul ye aaj zindāñ meñ
mire dīvāna-pan ko dekh kar zanjīr hañstī hai
asiron ka nahin kuchh shor-o-ghul ye aaj zindan mein
mere diwana-pan ko dekh kar zanjir hansti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil ko maarā chashm ne abrū kī talvāroñ se aaj
kyuuñ bhiḌā thā jā ke ye hushiyār mai-ḳhvāroñ se aaj
dil ko mara chashm ne abru ki talwaron se aaj
kyun bhiDa tha ja ke ye hushiyar mai-KHwaron se aaj
jab se terī nazar paḌī hai jhalak
tab se lagtī nahīñ palak se palak
jab se teri nazar paDi hai jhalak
tab se lagti nahin palak se palak
hai kabhū dil meñ kabhū jī meñ kabhū āñkhoñ ke biich
kaun kahtā hai use yaaro ki harjā.ī nahīñ
hai kabhu dil mein kabhu ji mein kabhu aankhon ke bich
kaun kahta hai use yaro ki harjai nahin
is qadar bas-ki roz milne se
ḳhātiroñ meñ ġhubār aave hai
is qadar bas-ki roz milne se
KHatiron mein ghubar aawe hai
-
Tag : Mulaqat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
merī fariyād koī na.iiñ suntā
koī is shahr meñ bhī bastā hai
meri fariyaad koi nain sunta
koi is shahr mein bhi basta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
qissa-e-majnūñ-o-farhād bhī ik pardā hai
jo fasāna hai yahāñ sharh-o-bayāñ hai apnā
qissa-e-majnun-o-farhad bhi ek parda hai
jo fasana hai yahan sharh-o-bayan hai apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
masjid meñ sar paTaktā hai to jis ke vāste
so to yahāñ hai dekh idhar aa ḳhudā-shanās
masjid mein sar paTakta hai to jis ke waste
so to yahan hai dekh idhar aa KHuda-shanas
zāhido uTh jaao majlis se ki aaj
be-tarah aatā hai vo mai-ḳhvār mast
zahido uTh jao majlis se ki aaj
be-tarah aata hai wo mai-KHwar mast
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
majlis meñ raat girya-e-mastāñ thā tujh baġhair
sāġhar bharā sharāb kā chashm-e-pur-āb thā
majlis mein raat girya-e-mastan tha tujh baghair
saghar bhara sharab ka chashm-e-pur-ab tha
jab pukāre hai vo abe o hot
āshiq apnā ḳhitāb jaane hai
jab pukare hai wo abe o hot
aashiq apna KHitab jaane hai
pagḌī apnī yahāñ sambhāl chalo
aur bastī na ho ye dillī hai
pagDi apni yahan sambhaal chalo
aur basti na ho ye dilli hai
fil-haqīqat koī nahīñ martā
maut hikmat kā ek pardā hai
fil-haqiqat koi nahin marta
maut hikmat ka ek parda hai
-
Tag : Maut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download