Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dagh Dehlvi's Photo'

Dagh Dehlvi

1831 - 1905 | Delhi, India

Last of classical poets who celebrated life and love. Famous for his playfulness of words (idioms/ phrases).

Last of classical poets who celebrated life and love. Famous for his playfulness of words (idioms/ phrases).

Sher of Dagh Dehlvi

209.9K
Favorite

SORT BY

tumhārā dil mire dil ke barābar ho nahīñ saktā

vo shīsha ho nahīñ saktā ye patthar ho nahīñ saktā

tumhaara dil mere dil ke barabar ho nahin sakta

wo shisha ho nahin sakta ye patthar ho nahin sakta

hazāroñ kaam mohabbat meñ haiñ maze ke 'dāġh'

jo log kuchh nahīñ karte kamāl karte haiñ

hazaron kaam mohabbat mein hain maze ke 'dagh'

jo log kuchh nahin karte kamal karte hain

milāte ho usī ko ḳhaak meñ jo dil se miltā hai

mirī jaañ chāhne vaalā baḌī mushkil se miltā hai

those who meet you lovingly then into dust you grind

those who bear affection, dear, are very hard to find

milate ho usi ko KHak mein jo dil se milta hai

meri jaan chahne wala baDi mushkil se milta hai

those who meet you lovingly then into dust you grind

those who bear affection, dear, are very hard to find

vafā kareñge nibāheñge baat māneñge

tumheñ bhī yaad hai kuchh ye kalām kis thā

wafa karenge nibahenge baat manenge

tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha

sab log jidhar vo haiñ udhar dekh rahe haiñ

ham dekhne vāloñ nazar dekh rahe haiñ

sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain

hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain

dil de to is mizāj parvardigār de

jo rañj ghaḌī bhī ḳhushī se guzār de

a heart O lord if you bestow, one such it should be

that smilingly I may spend my time of misery

dil de to is mizaj ka parwardigar de

jo ranj ki ghaDi bhi KHushi se guzar de

a heart O lord if you bestow, one such it should be

that smilingly I may spend my time of misery

aa.ina dekh ke kahte haiñ sañvarne vaale

aaj be-maut mareñge mire marne vaale

on seeing her own reflection she is moved to say

ere their time, my paramours shall perish this day

aaina dekh ke kahte hain sanwarne wale

aaj be-maut marenge mere marne wale

on seeing her own reflection she is moved to say

ere their time, my paramours shall perish this day

hameñ hai shauq ki be-parda tum ko dekheñge

tumheñ hai sharm to āñkhoñ pe haath dhar lenā

hamein hai shauq ki be-parda tum ko dekhenge

tumhein hai sharm to aankhon pe hath dhar lena

is nahīñ koī ilaaj nahīñ

roz kahte haiñ aap aaj nahīñ

ah! this denial, nothing can allay

every day you say no, not today

is nahin ka koi ilaj nahin

roz kahte hain aap aaj nahin

ah! this denial, nothing can allay

every day you say no, not today

āshiqī se milegā ai zāhid

bandagī se ḳhudā nahīñ miltā

in romance, does God abound

O priest in piety not found

aashiqi se milega ai zahid

bandagi se KHuda nahin milta

in romance, does God abound

O priest in piety not found

shab-e-visāl hai gul kar do in charāġhoñ ko

ḳhushī bazm meñ kyā kaam jalne vāloñ

shab-e-visal hai gul kar do in charaghon ko

KHushi ki bazm mein kya kaam jalne walon ka

ġhazab kiyā tire va.ade pe e'tibār kiyā

tamām raat qayāmat intizār kiyā

ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya

tamam raat qayamat ka intizar kiya

ḳhabar sun kar mire marne vo bole raqīboñ se

ḳhudā baḳhshe bahut ḳhūbiyāñ thiiñ marne vaale meñ

upon my death she stated to my rivals, if you please

may God spare the parted soul had many qualities

KHabar sun kar mere marne ki wo bole raqibon se

KHuda baKHshe bahut si KHubiyan thin marne wale mein

upon my death she stated to my rivals, if you please

may God spare the parted soul had many qualities

lipaT jaate haiñ vo bijlī ke Dar se

ilāhī ye ghaTā do din to barse

by lightning scared, she clings to me

may two days,Lord, this weather be

lipaT jate hain wo bijli ke Dar se

ilahi ye ghaTa do din to barse

by lightning scared, she clings to me

may two days,Lord, this weather be

ḳhuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñ

saaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ

what coyness this is, to abide,a screen beside her face

which neither does she clearly hide nor openly display

KHub parda hai ki chilman se lage baiThe hain

saf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin

what coyness this is, to abide,a screen beside her face

which neither does she clearly hide nor openly display

aap e'tibār kaun kare

roz intizār kaun kare

who can depend on what you say?

who will wait each every day?

aap ka e'tibar kaun kare

roz ka intizar kaun kare

who can depend on what you say?

who will wait each every day?

kal tak to āshnā the magar aaj ġhair ho

do din meñ ye mizāj hai aage ḳhair ho

kal tak to aashna the magar aaj ghair ho

do din mein ye mizaj hai aage ki KHair ho

le chalā jaan mirī ruuTh ke jaanā terā

aise aane se to behtar thā na aanā terā

le chala jaan meri ruTh ke jaana tera

aise aane se to behtar tha na aana tera

na jaanā ki duniyā se jaatā hai koī

bahut der mehrbāñ aate aate

na jaana ki duniya se jata hai koi

bahut der ki mehrban aate aate

baat tak karnī na aatī thī tumheñ

ye hamāre sāmne baat hai

baat tak karni na aati thi tumhein

ye hamare samne ki baat hai

shab-e-vasl mo.azzin ne azaañ pichhlī raat

haa.e kam-baḳht ko kis vaqt ḳhudā yaad aayā

di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat

hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya

urdu hai jis naam hamīñ jānte haiñ 'dāġh'

hindostāñ meñ dhuum hamārī zabāñ hai

urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'

hindostan mein dhum hamari zaban ki hai

haath rakh kar jo vo pūchhe dil-e-betāb haal

ho bhī ārām to kah duuñ mujhe ārām nahīñ

hath rakh kar jo wo puchhe dil-e-betab ka haal

ho bhi aaram to kah dun mujhe aaram nahin

hazār baar jo māñgā karo to kyā hāsil

duā vahī hai jo dil se kabhī nikaltī hai

hazar bar jo manga karo to kya hasil

dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai

jis meñ lākhoñ baras hūreñ hoñ

aisī jannat ko kyā kare koī

where virgins aged a million years reside

hopes for such a heaven why abide

jis mein lakhon baras ki huren hon

aisi jannat ko kya kare koi

where virgins aged a million years reside

hopes for such a heaven why abide

nahīñ khel ai 'dāġh' yāroñ se kah do

ki aatī hai urdu zabāñ aate aate

nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do

ki aati hai urdu zaban aate aate

jin ko apnī ḳhabar nahīñ ab tak

vo mire dil raaz kyā jāneñ

jin ko apni KHabar nahin ab tak

wo mere dil ka raaz kya jaanen

chup-chāp suntī rahtī hai pahroñ shab-e-firāq

tasvīr-e-yār ko hai mirī guftugū pasand

chup-chap sunti rahti hai pahron shab-e-firaq

taswir-e-yar ko hai meri guftugu pasand

baḌā maza ho jo mahshar meñ ham kareñ shikva

vo minnatoñ se kaheñ chup raho ḳhudā ke liye

baDa maza ho jo mahshar mein hum karen shikwa

wo minnaton se kahen chup raho KHuda ke liye

dil le ke muft kahte haiñ kuchh kaam nahīñ

ulTī shikāyateñ huiiñ ehsān to gayā

she takes my heart for free and yet holds it in disdain

far from showing gratitude, she ventures to complain

dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin

ulTi shikayaten huin ehsan to gaya

she takes my heart for free and yet holds it in disdain

far from showing gratitude, she ventures to complain

ye to nahīñ ki tum jahāñ meñ hasīñ nahīñ

is dil ko kyā karūñ ye bahaltā kahīñ nahīñ

ye to nahin ki tum sa jahan mein hasin nahin

is dil ko kya karun ye bahalta kahin nahin

ye to kahiye is ḳhatā kyā sazā

maiñ jo kah duuñ aap par martā huuñ maiñ

tell me pray for this crime what punishment is due

if I were to thus declare- I'm dying in love for you

ye to kahiye is KHata ki kya saza

main jo kah dun aap par marta hun main

tell me pray for this crime what punishment is due

if I were to thus declare- I'm dying in love for you

rahā na dil meñ vo bedard aur dard rahā

muqīm kaun huā hai maqām kis thā

raha na dil mein wo bedard aur dard raha

muqim kaun hua hai maqam kis ka tha

kahne detī nahīñ kuchh muñh se mohabbat merī

lab pe rah jaatī hai aa aa ke shikāyat merī

from voicing my emotions, love makes me refrain

grievances come to my lips but silent there remain

kahne deti nahin kuchh munh se mohabbat meri

lab pe rah jati hai aa aa ke shikayat meri

from voicing my emotions, love makes me refrain

grievances come to my lips but silent there remain

yuuñ bhī hazāroñ lākhoñ meñ tum intiḳhāb ho

puurā karo savāl to phir lā-javāb ho

yun bhi hazaron lakhon mein tum intiKHab ho

pura karo sawal to phir la-jawab ho

lutf-e-mai tujh se kyā kahūñ zāhid

haa.e kam-baḳht ne nahīñ

you've never drunk O hapless priest

The joys of wine how will you see

lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid

hae kam-baKHt tu ne pi hi nahin

you've never drunk O hapless priest

The joys of wine how will you see

aao mil jaao ki ye vaqt na pāoge kabhī

maiñ bhī ham-rāh zamāne ke badal jā.ūñgā

aao mil jao ki ye waqt na paoge kabhi

main bhi ham-rah zamane ke badal jaunga

zid har ik baat par nahīñ achchhī

dost dost maan lete haiñ

zid har ek baat par nahin achchhi

dost ki dost man lete hain

ruḳh-e-raushan ke aage sham.a rakh kar vo ye kahte haiñ

udhar jaatā hai dekheñ idhar parvāna aatā hai

ruKH-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain

udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai

arz-e-ahvāl ko gilā samjhe

kyā kahā maiñ ne aap kyā samjhe

the mention of my condition was a complaint thought to be

what was it I said to you, you did not follow me

arz-e-ahwal ko gila samjhe

kya kaha main ne aap kya samjhe

the mention of my condition was a complaint thought to be

what was it I said to you, you did not follow me

sāqiyā tishnagī taab nahīñ

zahr de de agar sharāb nahīñ

saqiya tishnagi ki tab nahin

zahr de de agar sharab nahin

tum ko chāhā to ḳhatā kyā hai batā do mujh ko

dūsrā koī to apnā dikhā do mujh ko

tum ko chaha to KHata kya hai bata do mujh ko

dusra koi to apna sa dikha do mujh ko

falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñ

jahāñ bajte haiñ naqqāre vahāñ mātam bhī hotā hai

falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain

jahan bajte hain naqqare wahan matam bhi hota hai

nā-umīdī baḌh ga.ī hai is qadar

aarzū aarzū hone lagī

na-umidi baDh gai hai is qadar

aarzu ki aarzu hone lagi

uḌ ga.ī yuuñ vafā zamāne se

kabhī goyā kisī meñ thī nahīñ

uD gai yun wafa zamane se

kabhi goya kisi mein thi hi nahin

koī nām-o-nishāñ pūchhe to ai qāsid batā denā

taḳhallus 'dāġh' hai vo āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ

koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena

taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain

ḳhātir se lihāz se maiñ maan to gayā

jhūTī qasam se aap īmān to gayā

for reasons of formality, I've chosen to believe

you have surely lost your faith when you so deceive

KHatir se ya lihaz se main man to gaya

jhuTi qasam se aap ka iman to gaya

for reasons of formality, I've chosen to believe

you have surely lost your faith when you so deceive

saath shoḳhī ke kuchh hijāb bhī hai

is adā kahīñ javāb bhī hai

sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai

is ada ka kahin jawab bhi hai

mujhe yaad karne se ye mudda.ā thā

nikal jaa.e dam hichkiyāñ aate aate

mujhe yaad karne se ye muddaa tha

nikal jae dam hichkiyan aate aate

hazrat-e-dāġh jahāñ baiTh ga.e baiTh ga.e

aur hoñge tirī mahfil se ubharne vaale

hazrat-e-dagh jahan baiTh gae baiTh gae

aur honge teri mahfil se ubharne wale

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now