aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Intizaar Shayari

Intezar shayari aptly

captures the turmoil of a man while he is waiting for someone, something. Enjoy the outstanding urdu shayari that we have compiled for all those who are still waiting their turn.

ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā

agar aur jiite rahte yahī intizār hotā

That my love be consummated, fate did not ordain

Living longer had I waited, would have been in vain

ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota

agar aur jite rahte yahi intizar hota

That my love be consummated, fate did not ordain

Living longer had I waited, would have been in vain

Mirza Ghalib

ik raat vo gayā thā jahāñ baat rok ke

ab tak rukā huā huuñ vahīñ raat rok ke

ek raat wo gaya tha jahan baat rok ke

ab tak ruka hua hun wahin raat rok ke

Farhat Ehsas

na koī va.ada na koī yaqīñ na koī umiid

magar hameñ to tirā intizār karnā thā

no promise,surety, nor any hope was due

yet I had little choice but to wait for you

na koi wada na koi yaqin na koi umid

magar hamein to tera intizar karna tha

no promise,surety, nor any hope was due

yet I had little choice but to wait for you

Firaq Gorakhpuri

kaun aa.egā yahāñ koī na aayā hogā

merā darvāza havāoñ ne hilāyā hogā

kaun aaega yahan koi na aaya hoga

mera darwaza hawaon ne hilaya hoga

Kaif Bhopali

hameñ bhī aaj karnā thā intizār us

use bhī aaj sab vaade bhuul jaane the

hamein bhi aaj hi karna tha intizar us ka

use bhi aaj hi sab wade bhul jaane the

Aashufta Changezi

kahīñ vo aa ke miTā deñ na intizār lutf

kahīñ qubūl na ho jaa.e iltijā merī

let her not come to me and this pleasure destroy

let not my prayers be answered, for waiting is a joy

kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf

kahin qubul na ho jae iltija meri

let her not come to me and this pleasure destroy

let not my prayers be answered, for waiting is a joy

Hasrat Jaipuri

ab in hudūd meñ laayā hai intizār mujhe

vo aa bhī jaa.eñ to aa.e na e'tibār mujhe

ab in hudud mein laya hai intizar mujhe

wo aa bhi jaen to aae na e'tibar mujhe

Khumar Barabankavi

ab kaun muntazir hai hamāre liye vahāñ

shaam aa ga.ī hai lauT ke ghar jaa.eñ ham to kyā

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan

sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya

Muneer Niyazi

tamām jism ko āñkheñ banā ke raah tako

tamām khel mohabbat meñ intizār hai

tamam jism ko aankhen bana ke rah tako

tamam khel mohabbat mein intizar ka hai

Munawwar Rana

tanhā.iyāñ tumhārā pata pūchhtī rahīñ

shab-bhar tumhārī yaad ne sone nahīñ diyā

tanhaiyan tumhaara pata puchhti rahin

shab-bhar tumhaari yaad ne sone nahin diya

Unknown

aadhī se ziyāda shab-e-ġham kaaT chukā huuñ

ab bhī agar aa jaao to ye raat baḌī hai

aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun

ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai

Saqib Lakhnavi

muddat se ḳhvāb meñ bhī nahīñ niiñd ḳhayāl

hairat meñ huuñ ye kis mujhe intizār hai

muddat se KHwab mein bhi nahin nind ka KHayal

hairat mein hun ye kis ka mujhe intizar hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

kamāl-e-ishq to dekho vo aa ga.e lekin

vahī hai shauq vahī intizār baaqī hai

kamal-e-ishq to dekho wo aa gae lekin

wahi hai shauq wahi intizar baqi hai

Jaleel Manikpuri

ab jo patthar hai aadmī thā kabhī

is ko kahte haiñ intizār miyāñ

ab jo patthar hai aadmi tha kabhi

is ko kahte hain intizar miyan

Afzal Khan

phir baiThe baiThe vāda-e-vasl us ne kar liyā

phir uTh khaḌā huā vahī rog intizār

phir baiThe baiThe wada-e-wasl us ne kar liya

phir uTh khaDa hua wahi rog intizar ka

Ameer Minai

isī ḳhayāl meñ har shām-e-intizār kaTī

vo aa rahe haiñ vo aa.e vo aa.e jaate haiñ

isi KHayal mein har sham-e-intizar kaTi

wo aa rahe hain wo aae wo aae jate hain

Nazar Hyderabadi

andāz hū-ba-hū tirī āvāz-e-pā thā

dekhā nikal ke ghar se to jhoñkā havā thā

andaz hu-ba-hu teri aawaz-e-pa ka tha

dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

Ahmad Nadeem Qasmi

hairāñ huuñ is qadar ki shab-e-vasl bhī mujhe

sāmne hai aur tirā intizār hai

hairan hun is qadar ki shab-e-wasl bhi mujhe

tu samne hai aur tera intizar hai

Mushafi Ghulam Hamdani

ye aur baat ki un ko yaqīñ nahīñ aayā

pa koī baat to barsoñ meñ ham ne yaaro

ye aur baat ki un ko yaqin nahin aaya

pa koi baat to barson mein hum ne ki yaro

Mughal Farooq Parwaz

hazār rañg-ba-dāmāñ sahī magar duniyā

bas ek silsila-e-etibār hai, kyā hai

hazar rang-ba-daman sahi magar duniya

bas ek silsila-e-etibar hai, kya hai

Nikhat Barelvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now