Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Muskurahat Shayari

We generally consider

smile to be a common facial expression and we tend to ignore its real value and worth. In the shers selected under this category, you would come across smile as a significant human act reflecting many moods. Smiles have so much to tell when it comes to love and romance. The smiles of lovers, for example, open up worlds of wonder. Enter this amazing world and enjoy its infinite appeal.

hamārī muskurāhaT par na jaanā

diyā to qabr par bhī jal rahā hai

hamari muskurahaT par na jaana

diya to qabr par bhi jal raha hai

Aanis Moin

mujhe zindagī duā dene vaale

hañsī aa rahī hai tirī sādgī par

mujhe zindagi ki dua dene wale

hansi aa rahi hai teri sadgi par

Gopal Mittal

tum hañso to din nikle chup raho to rāteñ haiñ

kis ġham kahāñ ġham sab fuzūl bāteñ haiñ

tum hanso to din nikle chup raho to raaten hain

kis ka gham kahan ka gham sab fuzul baaten hain

Unknown

muskurāhaT hai husn zevar

muskurānā na bhuul jaayā karo

muskurahaT hai husn ka zewar

muskurana na bhul jaya karo

Abdul Hamid Adam

zarā ik tabassum taklīf karnā

ki gulzār meñ phuul murjhā rahe haiñ

zara ek tabassum ki taklif karna

ki gulzar mein phul murjha rahe hain

Abdul Hamid Adam

hañsī thamī hai in āñkhoñ meñ yuuñ namī tarah

chamak uThe haiñ andhere bhī raushnī tarah

hansi thami hai in aankhon mein yun nami ki tarah

chamak uThe hain andhere bhi raushni ki tarah

Meena Kumari Naz

dil meñ tūfān ho gayā barpā

tum ne jab muskurā ke dekh liyā

dil mein tufan ho gaya barpa

tum ne jab muskura ke dekh liya

Unknown

dhuup niklī hai bārishoñ ke ba.ad

vo abhī ro ke muskurā.e haiñ

dhup nikli hai barishon ke baad

wo abhi ro ke muskurae hain

Anjum Ludhianvi

ek bosa hoñT par phailā tabassum ban gayā

jo harārat thī mirī us ke badan meñ aa ga.ī

ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya

jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai

Kavish Badri

bujh ga.ī sham.a lau tere dupaTTe se to kyā

apnī muskān se mahfil ko munavvar kar de

bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kya

apni muskan se mahfil ko munawwar kar de

Sada Ambalvi

dekhne vaalo tabassum ko karam mat samjho

unheñ to dekhne vāloñ pe hañsī aatī hai

do not deem her smile to be a sign of grace

she mocks those poor souls who've looked upon her face

dekhne walo tabassum ko karam mat samjho

unhen to dekhne walon pe hansi aati hai

do not deem her smile to be a sign of grace

she mocks those poor souls who've looked upon her face

Sudarshan Faakir

dil-jaloñ se dil-lagī achchhī nahīñ

rone vāloñ se hañsī achchhī nahīñ

dil-jalon se dil-lagi achchhi nahin

rone walon se hansi achchhi nahin

Riyaz Khairabadi

yuuñ muskurā.e jaan kaliyoñ meñ paḌ ga.ī

yuuñ lab-kushā hue ki gulistāñ banā diyā

yun muskurae jaan si kaliyon mein paD gai

yun lab-kusha hue ki gulistan bana diya

Asghar Gondvi

hañsī hai dil-lagī hai qahqahe haiñ

tumhārī anjuman pūchhnā kyā

hansi hai dil-lagi hai qahqahe hain

tumhaari anjuman ka puchhna kya

Mubarak Azimabadi

us hañsī tum kyā samjho

vo jo pahroñ royā hai

us ki hansi tum kya samjho

wo jo pahron roya hai

Shaukat Pardesi

mere hoñToñ pe muskurāhaT hai

garche siine meñ daaġh rakhtā huuñ

mere honTon pe muskurahaT hai

garche sine mein dagh rakhta hun

Shabbir Naqid

jaise pau phaT rahī ho jañgal meñ

yuuñ koī muskurā.e jaatā hai

jaise pau phaT rahi ho jangal mein

yun koi muskurae jata hai

Ahmad Mushtaq

muskurāne yahī andāz thā

jab kalī chaTkī to vo yaad aa gayā

muskurane ka yahi andaz tha

jab kali chaTki to wo yaad aa gaya

Unknown

jiine marne ek sāmān

us muskān ho ga.ī hogī

jine marne ka ek hi saman

us ki muskan ho gai hogi

Habeeb Kaifi

tujhe ham dopahar dhuup meñ dekheñge ai ġhunche

abhī shabnam ke rone par hañsī ma.alūm hotī hai

tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche

abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai

Shafiq Jaunpuri

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now