Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Aadmi/Insaan Shayari

Human being is in the

centre of every creation in the world; may it be poetry, music or for that matter any fine art. Urdu poetry especially ghazal is full of shers which throw light on one or another aspect of human behavior or nature. Man is a very intricate and complex creature from within but here we are giving 20 most quotable and simple ash'aar with 'Insaan/aadmi' in their centre.

har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī

jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā

har aadmi mein hote hain das bis aadmi

jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna

Nida Fazli

yahāñ libās qīmat hai aadmī nahīñ

mujhe gilās baḌe de sharāb kam kar de

yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin

mujhe gilas baDe de sharab kam kar de

Bashir Badr

vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar

aadat is bhī aadmī hai

waqt rahta nahin kahin Tik kar

aadat is ki bhi aadmi si hai

Gulzar

bas-ki dushvār hai har kaam āsāñ honā

aadmī ko bhī muyassar nahīñ insāñ honā

Tis difficult that every goal be easily complete

For a man, too, to be human, is no easy feat

bas-ki dushwar hai har kaam ka aasan hona

aadmi ko bhi muyassar nahin insan hona

Tis difficult that every goal be easily complete

For a man, too, to be human, is no easy feat

Mirza Ghalib

jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'

aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye

jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'

aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye

Zafar Iqbal

gharoñ pe naam the nāmoñ ke saath ohde the

bahut talāsh kiyā koī aadmī na milā

gharon pe nam the namon ke sath ohde the

bahut talash kiya koi aadmi na mila

Bashir Badr

'mīr' sāhab tum farishta ho to ho

aadmī honā to mushkil hai miyāñ

'mir' sahab tum farishta ho to ho

aadmi hona to mushkil hai miyan

Meer Taqi Meer

mat sahl hameñ jaano phirtā hai falak barsoñ

tab ḳhaak ke parde se insān nikalte haiñ

mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson

tab KHak ke parde se insan nikalte hain

Meer Taqi Meer

farishte se baḌh kar hai insān banñā

magar is meñ lagtī hai mehnat ziyāda

farishte se baDh kar hai insan banna

magar is mein lagti hai mehnat ziyaada

Altaf Hussain Hali

'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā sāhab-e-fahm-o-zakā

jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā

'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka

jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha

Bahadur Shah Zafar

mirī zabān ke mausam badalte rahte haiñ

maiñ aadmī huuñ mirā e'tibār mat karnā

meri zaban ke mausam badalte rahte hain

main aadmi hun mera e'tibar mat karna

Asim Wasti

samjhegā aadmī ko vahāñ kaun aadmī

banda jahāñ ḳhudā ko ḳhudā māntā nahīñ

samjhega aadmi ko wahan kaun aadmi

banda jahan KHuda ko KHuda manta nahin

Saba Akbarabadi

ai āsmān tere ḳhudā nahīñ hai ḳhauf

Darte haiñ ai zamīn tire aadmī se ham

O heavens I do not fear your God above you know

I am afraid O Earth, of your human beings below

ai aasman tere KHuda ka nahin hai KHauf

Darte hain ai zamin tere aadmi se hum

O heavens I do not fear your God above you know

I am afraid O Earth, of your human beings below

Unknown

sab se pur-amn vāqi.a ye hai

aadmī aadmī ko bhuul gayā

sab se pur-amn waqia ye hai

aadmi aadmi ko bhul gaya

Jaun Eliya

raah meñ baiThā huuñ maiñ tum sañg-e-rah samjho mujhe

aadmī ban jā.ūñgā kuchh Thokareñ khāne ke ba.ad

rah mein baiTha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe

aadmi ban jaunga kuchh Thokaren khane ke baad

Bekhud Dehlvi

jānvar aadmī farishta ḳhudā

aadmī haiñ saikaḌoñ qismeñ

barbaric and human, angelic, divine

man, by many names, one may well define

jaanwar aadmi farishta KHuda

aadmi ki hain saikaDon qismen

barbaric and human, angelic, divine

man, by many names, one may well define

Altaf Hussain Hali

hazār chehre haiñ maujūd aadmī ġhā.eb

ye kis ḳharābe meñ duniyā ne ke chhoḌ diyā

hazar chehre hain maujud aadmi ghaeb

ye kis KHarabe mein duniya ne la ke chhoD diya

Shahzad Ahmad

ḳhudā se kyā mohabbat kar sakegā

jise nafrat hai us ke aadmī se

KHuda se kya mohabbat kar sakega

jise nafrat hai us ke aadmi se

Naresh Kumar Shad

aadmī bulbula hai paanī

kyā bharosā hai zindagānī

aadmi bulbula hai pani ka

kya bharosa hai zindagani ka

Maulwi Abd-ur-Raza Raza

duniyā pe aisā vaqt paḌegā ki ek din

insān talāsh meñ insān jā.egā

duniya pe aisa waqt paDega ki ek din

insan ki talash mein insan jaega

Fana Nizami Kanpuri

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now