Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Safar Shayari

Human beings are always

on the run. Slow or fast, they travel the terrain to reach their own destinations. Travelling exposes us to new spaces, brings us to new destinations, and new successes, some of which may sometimes even disappoint us. Here are some examples for you to think over the philosophy of travelling.

maiñ akelā chalā thā jānib-e-manzil magar

log saath aate ga.e aur kārvāñ bantā gayā

main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar

log sath aate gae aur karwan banta gaya

Majrooh Sultanpuri

kisī ko ghar se nikalte mil ga.ī manzil

koī hamārī tarah umr bhar safar meñ rahā

kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil

koi hamari tarah umr bhar safar mein raha

Ahmad Faraz

āvāz de ke dekh lo shāyad vo mil jaa.e

varna ye umr bhar safar rā.egāñ to hai

aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae

warna ye umr bhar ka safar raegan to hai

Muneer Niyazi

is safar meñ niiñd aisī kho ga.ī

ham na so.e raat thak kar so ga.ī

is safar mein nind aisi kho gai

hum na soe raat thak kar so gai

Rahi Masoom Raza

mujhe ḳhabar thī mirā intizār ghar meñ rahā

ye hādsa thā ki maiñ umr bhar safar meñ rahā

mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha

ye hadsa tha ki main umr bhar safar mein raha

Saqi Faruqi

apnī marzī se kahāñ apne safar ke ham haiñ

ruḳh havāoñ jidhar hai udhar ke ham haiñ

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

ruKH hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain

Nida Fazli

jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā

mujhe pāmāl rastoñ safar achchhā nahīñ lagtā

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta

mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta

Javed Akhtar

safar meñ dhuup to hogī jo chal sako to chalo

sabhī haiñ bhiiḌ meñ tum bhī nikal sako to chalo

safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo

sabhi hain bhiD mein tum bhi nikal sako to chalo

Nida Fazli

safar meñ aise ka.ī marhale bhī aate haiñ

har ek moḌ pe kuchh log chhūT jaate haiñ

safar mein aise kai marhale bhi aate hain

har ek moD pe kuchh log chhuT jate hain

Aabid Adeeb

maiñ lauTne ke irāde se rahā huuñ magar

safar safar hai mirā intizār mat karnā

intent on returning

a journey is a journey so do not wait for me

main lauTne ke irade se ja raha hun magar

safar safar hai mera intizar mat karna

intent on returning

a journey is a journey so do not wait for me

Sahil Sahri Nainitali

hai koī jo batā.e shab ke musāfiroñ ko

kitnā safar huā hai kitnā safar rahā hai

hai koi jo batae shab ke musafiron ko

kitna safar hua hai kitna safar raha hai

Shahryar

safar meñ koī kisī ke liye Thahartā nahīñ

na muḌ ke dekhā kabhī sāhiloñ ko dariyā ne

safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin

na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne

Farigh Bukhari

ḳhāmosh zindagī jo basar kar rahe haiñ ham

gahre samundaroñ meñ safar kar rahe haiñ ham

KHamosh zindagi jo basar kar rahe hain hum

gahre samundaron mein safar kar rahe hain hum

Rais Amrohvi

ye bad-nasībī nahīñ hai to aur phir kyā hai

safar akele kiyā ham-safar ke hote hue

ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kya hai

safar akele kiya ham-safar ke hote hue

Haseeb Soz

safar ke saath safar ke na.e masā.il the

gharoñ zikr to raste meñ chhūT jaatā thā

safar ke sath safar ke nae masail the

gharon ka zikr to raste mein chhuT jata tha

Waseem Barelvi

safar ke ba.ad bhī mujh ko safar meñ rahnā hai

nazar se girnā bhī goyā ḳhabar meñ rahnā hai

safar ke baad bhi mujh ko safar mein rahna hai

nazar se girna bhi goya KHabar mein rahna hai

Aadil Raza Mansoori

kareñ to kis se kareñ nā-rasā.iyoñ gila

safar tamām huā ham-safar nahīñ aayā

karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila

safar tamam hua ham-safar nahin aaya

Iftikhar Arif

safar hai shart musāfir-navāz bahutere

hazār-hā shajar-e-sāya-dār raah meñ hai

safar hai shart musafir-nawaz bahutere

hazar-ha shajar-e-saya-dar rah mein hai

Haidar Ali Aatish

na.e safar lazzatoñ se jism o jaañ ko sar karo

safar meñ hoñgī barkateñ safar karo safar karo

nae safar ki lazzaton se jism o jaan ko sar karo

safar mein hongi barkaten safar karo safar karo

Mahtab Haider Naqvi

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now