Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 20 Couplets on Eyes

Eyes don’t only see

what appears before them; they go deeper and see much more than the obvious and the visible. Urdu poetry celebrates the lovers’ eyes in most unusual ways. They both attract and repel and bring pleasure and pain accordingly. You would come across such experiences and many more when you would go through this selection.

tumhārī āñkhoñ tauhīn hai zarā socho

tumhārā chāhne vaalā sharāb piitā hai

tumhaari aankhon ki tauhin hai zara socho

tumhaara chahne wala sharab pita hai

Munawwar Rana

terī āñkhoñ kuchh qusūr nahīñ

haañ mujhī ko ḳharāb honā thā

teri aankhon ka kuchh qusur nahin

han mujhi ko KHarab hona tha

Jigar Moradabadi

tire jamāl tasvīr khīñch duuñ lekin

zabāñ meñ aañkh nahīñ aañkh meñ zabān nahīñ

tere jamal ki taswir khinch dun lekin

zaban mein aankh nahin aankh mein zaban nahin

Jigar Moradabadi

jo un ma.asūm āñkhoñ ne diye the

vo dhoke aaj tak maiñ khā rahā huuñ

jo un masum aankhon ne diye the

wo dhoke aaj tak main kha raha hun

Firaq Gorakhpuri

ik hasīñ aañkh ke ishāre par

qāfile raah bhuul jaate haiñ

ek hasin aankh ke ishaare par

qafile rah bhul jate hain

Abdul Hamid Adam

aañkh rahzan nahīñ to phir kyā hai

luuT letī hai qāfila dil

aankh rahzan nahin to phir kya hai

luT leti hai qafila dil ka

Jaleel Manikpuri

laḌne ko dil jo chāhe to āñkheñ laḌā.iye

ho jañg bhī agar to mazedār jañg ho

laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye

ho jang bhi agar to mazedar jang ho

Lala Madhav Ram Jauhar

us āñkhoñ ko ġhaur se dekho

mandiroñ meñ charāġh jalte haiñ

us ki aankhon ko ghaur se dekho

mandiron mein charagh jalte hain

Bashir Badr

paimāna kahe hai koī mai-ḳhāna kahe hai

duniyā tirī āñkhoñ ko bhī kyā kyā na kahe hai

paimana kahe hai koi mai-KHana kahe hai

duniya teri aankhon ko bhi kya kya na kahe hai

Unknown

jab tire nain muskurāte haiñ

ziist ke rañj bhuul jaate haiñ

jab tere nain muskuraate hain

zist ke ranj bhul jate hain

Abdul Hamid Adam

un ras bharī āñkhoñ meñ hayā khel rahī hai

do zahr ke pyāloñ meñ qazā khel rahī hai

un ras bhari aankhon mein haya khel rahi hai

do zahr ke pyalon mein qaza khel rahi hai

Akhtar Shirani

aañkh se aañkh milānā to suḳhan mat karnā

Tok dene se kahānī mazā jaatā hai

aankh se aankh milana to suKHan mat karna

Tok dene se kahani ka maza jata hai

Mohsin Asrar

āñkheñ na jiine deñgī tirī be-vafā mujhe

kyuuñ khiḌkiyoñ se jhāñk rahī hai qazā mujhe

aankhen na jine dengi teri be-wafa mujhe

kyun khiDkiyon se jhank rahi hai qaza mujhe

Imdad Ali Bahr

diloñ zikr kyā hai mileñ mileñ na mileñ

nazar milāo nazar se nazar baat karo

dilon ka zikr hi kya hai milen milen na milen

nazar milao nazar se nazar ki baat karo

Sufi Ghulam Mustafa Tabassum

ham mohabbat sabaq bhuul ga.e

terī āñkhoñ ne paḌhāyā kyā hai

hum mohabbat ka sabaq bhul gae

teri aankhon ne paDhaya kya hai

Jameel Mazhari

kaifiyyat-e-chashm us mujhe yaad hai 'saudā'

sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ

kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'

saghar ko mere hath se lijo ki chala main

Mohammad Rafi Sauda

kahīñ na un nazar se nazar kisī laḌe

vo is lihāz se āñkheñ jhukā.e baiThe haiñ

kahin na un ki nazar se nazar kisi ki laDe

wo is lihaz se aankhen jhukae baiThe hain

Nooh Narvi

us āñkheñ haiñ ki ik Dūbne vaalā insāñ

dūsre Dūbne vaale ko pukāre jaise

us ki aankhen hain ki ek Dubne wala insan

dusre Dubne wale ko pukare jaise

Irfan Siddiqi

idhar udhar mirī āñkheñ tujhe pukārtī haiñ

mirī nigāh nahīñ hai zabān hai goyā

idhar udhar meri aankhen tujhe pukarti hain

meri nigah nahin hai zaban hai goya

Bismil Saeedi

har ek aañkh meñ hotī hai muntazir koī aañkh

har ek dil meñ kahīñ kuchh jagah nikaltī hai

har ek aankh mein hoti hai muntazir koi aankh

har ek dil mein kahin kuchh jagah nikalti hai

Abrar Ahmad

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now